الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجَنَائِزِ
The Book of Al-Janaiz (Funerals)
بَابُ مَا يُسْتَحَبُّ أَنْ يُغْسَلَ وِتْرًا:
Chapter. It is desirable to wash (the dead body) for an odd number of times.
Show diacritics
Hadith Number: 1254
حدثنا محمد، حدثنا عبد الوهاب الثقفي، عن ايوب، عن محمد، عن ام عطية رضي الله عنها , قالت:" دخل علينا رسول الله صلى الله عليه وسلم ونحن نغسل ابنته , فقال: اغسلنها ثلاثا او خمسا او اكثر من ذلك بماء , وسدر واجعلن في الآخرة كافورا، فإذا فرغتن فآذنني، فلما فرغنا آذناه فالقى إلينا حقوه , فقال: اشعرنها إياه".
Hum se Muhammad ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdul Wahhab Saqafi ne byaan kiya , un se Ayub ne , un se Muhammad ne , un se Umm Atiya razi Allahu anha ne ke hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki beti ko ghusl de rahi thin ke Aap salla Allahu alaihi wasallam tashreef laaye aur farmaya ke teen ya paanch martaba ghusl do ya is se bhi zyada , paani aur beri ke patton se aur aakhir mein kafoor bhi istemal karna . Phir farigh ho kar mujhe khabar de dena . Jab hum farigh huay to Aap salla Allahu alaihi wasallam ko khabar kar di . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne apna izaar inayat farmaya aur farmaya ke yeh andar is ke badan par lapait do .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: Q1255
فقال ايوب: وحدثتني حفصة بمثل حديث محمد، وكان في حديث حفصة اغسلنها وترا وكان فيه ثلاثا , او خمسا , او سبعا، وكان فيه , انه قال: ابدان بميامنها ومواضع الوضوء منها"، وكان فيه ان ام عطية , قالت: ومشطناها ثلاثة قرون.
Ayub ne kaha ke mujh se Hafsa ne bhi Muhammad bin Sirin ki hadees ki tarah byaan kiya tha . Hafsa ki hadees mein tha ke taaq martaba ghusl dena aur is mein yeh tafseel thi ke teen ya paanch ya saat martaba (ghusl dena) aur is mein yeh bhi byaan tha ke mayyat ke dayein taraf se aaza-e-wuzu se ghusl shuru kiya jaye . Yeh bhi isi hadees mein tha ke Umm Atiya razi Allahu anha ne kaha ke hum ne kanghi kar ke un ke baalon ko teen latton mein taqseem kar diya tha .