الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَقْصِيرِ الصَّلَاةِ
The Book of Abridged Or Shortened Prayers (At-Taqsir)
بَابٌ في كَمْ يَقْصُرُ الصَّلاَةَ:
Chapter. What is the length of the journey that makes it permissible for one to offer a shortened Salat (prayer)?
Show diacritics
Hadith Number: Q1086
وسمى النبي صلى الله عليه وسلم يوما وليلة سفرا، وكان ابن عمر، وابن عباس رضي الله عنهم يقصران ويفطران في اربعة برد وهي ستة عشر فرسخا.
Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne aik din aur aik raat ki masafat ko bhi safar kaha hai aur Abdullah Ibn Umar aur Abdullah Ibn Abbas razi Allahu anhum chaar burd (taqreeban artalees meel ki masafat) par qasar karte aur rozah bhi iftar karte thay . Chaar burd mein solah farsakh hote hain (aur aik farsakh mein teen meel) .


Show diacritics
Hadith Number: 1086
حدثنا إسحاق بن إبراهيم الحنظلي، قال: قلت لابي اسامة، حدثكم عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تسافر المراة ثلاثة ايام إلا مع ذي محرم".
Hum se Ishaq bin Rahwaih ne byaan kiya , unhon ne Abu Usamah se , main ne poocha ke kya aap se Ubaidullah Umari ne Nafey se yeh hadees byaan ki thi ke un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka yeh farmaan naqal kiya tha ke auraten teen din ka safar zi raham mehram ke baghair na karen (Abu Usamah ne kaha haan) .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1087
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:"لا تسافر المراة ثلاثا إلا مع ذي محرم"، تابعه احمد، عن ابن المبارك، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne , Ubaidullah Umari se byaan kiya , unhon ne kaha ke hamen Nafey ne khabar di , unhen Ibn Umar razi Allahu anhuma ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se khabar di ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya aurat teen din ka safar us waqt tak na kare jab tak us ke saath koi mehram rishtedar na ho . Is riwayat ki mutabi'at Ahmad ne Ibn Mubarak se ki un se Ubaidullah Umari ne un se Nafey ne aur un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hawala se .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1088
حدثنا آدم، قال: حدثنا ابن ابي ذئب، قال: حدثنا سعيد المقبري، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنهما، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا يحل لامراة تؤمن بالله واليوم الآخر، ان تسافر مسيرة يوم وليلة ليس معها حرمة"، تابعه يحيى بن ابي كثير، وسهيل، ومالك، عن المقبري، عن ابي هريرة رضي الله عنه.
Hum se Adam ne byaan kiya unhon ne kaha ke hum se Ibn Abi Zi'b ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Saeed Maqburi ne apne baap se byaan kiya , un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kisi khatoon ke liye jo Allah aur us ke Rasool par imaan rakhti ho , jaiz nahi ke aik din raat ka safar baghair kisi zi raham mehram ke kare . Is riwayat ki mutabi'at Yahya bin Abi Kaseer , Suhail aur Malik ne Maqburi se ki . Woh is riwayat ko Abu Hurairah razi Allahu anhu se byaan karte thay .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain