الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الِاسْتِسْقَاءِ
The Book of Al-Istisqa.
بَابُ مَا يُقَالُ إِذَا أَمْطَرَتْ:
Chapter. What should be said (or what to say) if it rains.
Show diacritics
Hadith Number: Q1032
وقال ابن عباس: كصيب المطر، وقال غيره: صاب واصاب يصوب.
Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne (Surah Al-Baqarah mein) «kasayyibin» (ke lafz «sayyib») se meenh ke maani liye hain aur doosron ne kaha ke «sayyib saaba yasawbu» se mushtaq hai isi se hai «asaba» .


Show diacritics
Hadith Number: 1032
حدثنا محمد هو ابن مقاتل ابو الحسن المروزي، قال: اخبرنا عبد الله، قال: اخبرنا عبيد الله، عن نافع، عن القاسم بن محمد، عن عائشة،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان إذا راى المطر، قال: اللهم صيبا نافعا"، تابعه القاسم بن يحيى، عن عبيد الله، وعقيل، ورواه الاوزاعي عن نافع.
Hum se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Abdullah bin Mubarak ne khabar di , kaha ke hamein Ubaidullah Umri ne Nafi se khabar di , unhein Qasim bin Muhammad ne , unhein Aisha razi Allahu anha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam jab barish hoti dekhte to yeh dua karte «Sayyiban naafi'an» ay Allah! nafa bakhshne wali barish barsa . Is riwayat ki mutabi'at Qasim bin Yahya ne Ubaidullah Umri se ki hai aur is ki riwayat Awzai aur Aqeel ne Nafi se ki hai .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain