الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَذَانِ
The Book of Adhan
بَابُ مَنْ أَسْمَعَ النَّاسَ تَكْبِيرَ الإِمَامِ:
Chapter. One who repeats the Takbir (Allahu Akbar) of the Imam so that the people may hear it.
Show diacritics
Hadith Number: 712
حدثنا مسدد، قال: حدثنا عبد الله بن داود، قال: حدثنا الاعمش، عن إبراهيم، عن الاسود، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" لما مرض النبي صلى الله عليه وسلم مرضه الذي مات فيه اتاه بلال يوذنه بالصلاة، فقال: مروا ابا بكر فليصل، قلت: إن ابا بكر رجل اسيف إن يقم مقامك يبكي فلا يقدر على القراءة، فقال: مروا ابا بكر فليصل، فقلت: مثله، فقال: في الثالثة او الرابعة إنكن صواحب يوسف مروا ابا بكر فليصل، فصلى وخرج النبي صلى الله عليه وسلم يهادى بين رجلين كاني انظر إليه يخط برجليه الارض، فلما رآه ابو بكر ذهب يتاخر فاشار إليه ان صل فتاخر ابو بكر رضي الله عنه، وقعد النبي صلى الله عليه وسلم إلى جنبه وابو بكر يسمع الناس التكبير"، تابعه محاضر، عن الاعمش.
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdullah bin Dawood ne byaan kiya , kaha ke hum se Amash ne Ibrahim Nakhai se byaan kiya , unhon ne Aswad se , unhon ne Aishah razi Allahu anha se ke Aap ne batlaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke marz al-wafat mein Bilal razi Allahu anhu namaaz ki ittila dene ke liye haazir khidmat huay . Aap ne farmaya ke Abu Bakr se namaaz parhane ke liye kaho . Main ne arz kiya ke Abu Bakr kache dil ke aadmi hain agar Aap ki jagah kharay hon ge to ro den ge aur qiraat na kar saken ge . Aap ne farmaya ke Abu Bakr se kaho woh namaaz parhayen . Main ne wohi uzr phir dohraya . Phir Aap ne teesri ya chothi marteba farmaya ke tum log to bilkul Sawahib Yusuf ki tarah ho . Abu Bakr se kaho ke woh namaaz parhayen . Khair Abu Bakr razi Allahu anhu ne namaaz shuru kara di . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam (apna mizaj zara halka pa kar) do aadmiyon ka sehaara liye huay bahar tashreef laye . Goya meri nazron ke saamne woh manzar hai ke Aap ke qadam zameen par nishaan kar rahe thay . Abu Bakr Aap ko dekh kar peeche hatne lage . Lekin Aap ne ishaare se unhein namaaz parhane ke liye kaha . Abu Bakr peeche hat gaye aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam un ke baazu mein baithe . Abu Bakr razi Allahu anhu logon ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki takbeer suna rahe thay . Abdullah bin Dawood ke saath is hadees ko Muhazir ne bhi Amash se riwayat kiya hai .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain