الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَذَانِ
The Book of Adhan
بَابُ مَنْ قَالَ لِيُؤَذِّنْ فِي السَّفَرِ مُؤَذِّنٌ وَاحِدٌ:
Chapter. Whoever said that there should be one Muadh-dhin in the journey.
Hadith Number: 628
حدثنا معلى بن اسد، قال: حدثنا وهيب، عن ايوب، عن ابي قلابة، عن مالك بن الحويرث، اتيت النبي صلى الله عليه وسلم في نفر من قومي، فاقمنا عنده عشرين ليلة وكان رحيما رفيقا، فلما راى شوقنا إلى اهالينا، قال:" ارجعوا فكونوا فيهم وعلموهم وصلوا، فإذا حضرت الصلاة فليؤذن لكم احدكم وليؤمكم اكبركم".
Hum se Muali bin Saad Asad Basri ne bayan kiya , kaha hum se Wuhaib bin Khalid ne Abu Ayyub se bayan kiya , unhon ne Abu Qalaba se , unhon ne kaha ke hum se Malik bin Huwairith ne bayan kiya , kaha ke mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ki khidmat mein apni qoum Bani Laith ke chand aadmiyon ke sath hazir hua aur mein ne aap salla Allahu alaihi wa sallam ki khidmat shareef mein bees raton tak qiyam kiya . Aap salla Allahu alaihi wa sallam bare reham dil aur milansar thay . Jab aap salla Allahu alaihi wa sallam ne hamare apne ghar pohanchne ka shauq mehsoos kar liya to farmaya ke ab tum ja sakte ho . Wahan ja kar apni qoum ko deen sikhao aur safar mein namaz parhte rehna . Jab namaz ka waqt aa jaye to tum mein se ek shakhs azan de aur jo tum mein sab se bara ho woh imamat karaye .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة