الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب التَّوْحِيدِ
The Book of Tauhid (Islamic Monotheism)
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَهُوَ الَّذِي خَلَقَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضَ بِالْحَقِّ}:
Chapter. The Statement of Allah:“And it is He Who has created the heavens and the earth in truth…”(V.6:73)
Hadith Number: 7385
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن ابن جريج، عن سليمان، عن طاوس، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يدعو من الليل: اللهم لك الحمد، انت رب السموات والارض، لك الحمد انت قيم السموات والارض ومن فيهن لك الحمد، انت نور السموات والارض قولك الحق، ووعدك الحق، ولقاؤك حق، والجنة حق والنار حق، والساعة حق، اللهم لك اسلمت، وبك آمنت، وعليك توكلت، وإليك انبت، وبك خاصمت، وإليك حاكمت، فاغفر لي ما قدمت وما اخرت، واسررت واعلنت، انت إلهي لا إله لي غيرك"، حدثنا ثابت بن محمد، حدثنا سفيان بهذا، وقال وقولك الحق.
Hum se Qubaysah bin Uqbah ne bayan kiya, kaha hamase Sufyan Sawri ne bayan kiya, in se Ibn Jurayj ne, in se Sulayman al-Ahwal ne, in se Taoos ne aur in se Ibn Abbas raziAllahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam raat mein yeh dua karte thay «allaahumma lakal-hamdu anta rab-bus-samaawaati wal-ardhi, lakal-hamdu anta qay-yimus-samaawaati wal-ardhi wa man feehin-na, lakal-hamdu anta noorus-samaawaati wal-ardhi, qaulukal-haq-qu, wa wa-dukal-haq-qu, wa li-qaaa-uka haq-qun, wal-jan-natu haq-qun, wan-naaru haq-qun, was-saa-atu haq-qun, allaahumma laka aslamtu, wa bika aamantu, wa alaika tawak-kaltu, wa ilaika anabtu, wa bika khaasamtu, wa ilaika haakamtu, fagh-fir lee maa qad-damtu wa maa akh-khartu, wa asrartu wa a-lantu, anta ilaahi laaa ilaaha lee ghairuka» . ”Ae Allah! tere hi liye tareef hai tu aasman o zameen ka maalik hai, hamd tere liye hi hai tu aasman o zameen ka qaim karne wala hai aur in sab ka jo is mein hain. Teri hi liye hamd hai tu aasman o zameen ka noor hai. Tera qaul haq hai aur tera waada sach hai aur teri mulaqat sach aur jannat sach aur dozakh sach hai aur Qayamat sach hai. Ae Allah! main ne tere hi samne sar jhuka diya, main tujh hi par iman laya, main ne tere hi oopar bharosa kiya aur teri hi taraf rujoo kiya. Main ne teri hi madad ke saath muqabla kiya aur main tujhi se insaf ka talab-gaar hoon. Pas tu meri maghfirat kar, in tamam gunahon mein jo main pehle kar chuka hoon aur jo baad mein mujh se sadir hon jo main ne chhupa rakkhe hain aur jin ka main ne izhar kiya hai, tu hi mera mabood hai aur tere siwa aur koi mabood nahi.“ Aur hamase Sabit bin Muhammad ne bayan kiya aur kaha ke hamase Sufyan Sawri ne phir yahi hadees bayan ki aur is mein yun hai «antal-haq-qu wa qaulukal-haq-qu» ke ”tu haq hai aur tera kalam haq hai.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة