الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الِاعْتِصَامِ بِالْكِتَابِ وَالسُّنَّةِ
The Book of Holding Fast To The Qur’An and The Sunna
بَابُ مَا ذَكَرَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَحَضَّ عَلَى اتِّفَاقِ أَهْلِ الْعِلْمِ:
Chapter. The Prophet (p.b.u.h.) mentioned and recommended that the religious learned men should not differ. What common opinions the people of the two Haram (sanctuaries) of Makkah and Al-Madina had.
Hadith Number: 7341
وقنت شهرا يدعو على احياء من بني سليم".
Aur aap ne qabail Bani Sulaim ke liye ek mahine tak duaye qonoot parhi jis mein un ke liye bad-dua ki.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7342
حدثني ابو كريب، حدثنا ابو اسامة، حدثنا بريد، عن ابي بردة، قال: قدمت المدينة فلقيني عبد الله بن سلام، فقال لي: انطلق إلى المنزل، فاسقيك في قدح شرب فيه رسول الله صلى الله عليه وسلم، وتصلي في مسجد صلى فيه النبي صلى الله عليه وسلم، فانطلقت معه فسقاني سويقا، واطعمني تمرا، وصليت في مسجده".
`Hum se Abu Kuraib ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, kaha hum se Buraid ne bayan kiya, kaha ke mein Madinah Munawwara aaya aur Abdullah bin Salam Radi Allahu Anhu se meri mulaqat hui to unhon ne kaha ke mere saath ghar chalo to mein tumhein is pyale mein pilaon ga jis mein Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne piya tha aur phir hum is namaz parhne ki jagah namaz parhein ge jahan Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne namaz parhi thi. Chunancha mein un ke saath gaya aur unhon ne mujhe sattu pilaya aur khajoor khilayi aur mein ne un ke namaz parhne ki jagah namaz parhi.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7343
حدثنا سعيد بن الربيع، حدثنا علي بن المبارك، عن يحيى بن ابي كثير، حدثني عكرمة، قال: حدثني ابن عباس، ان عمر رضي الله عنه، حدثه، قال: حدثني النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اتاني الليلة آت من ربي وهو بالعقيق ان صل في هذا الوادي المبارك وقل عمرة وحجة"، وقال هارون بن إسماعيل، حدثنا علي عمرة في حجة.
`Hum se Said bin Rabee ne bayan kiya, kaha hum se Ali bin Mubarak ne bayan kiya, un se Yahya bin Kaseer ne, un se Ikrima ne bayan kiya, un se Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne aur un se Umar Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mujh se Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mere paas raat ek mere Rabb ki taraf se aane wala aaya. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم is waqt Wadi-e-Aqeeq mein thay aur kaha ke is mubarak wadi mein namaz parhiye aur kahiye ke umrah aur hajj (ki niyat karta hoon) aur Haroon bin Ismail ne bayan kiya ke hum se Ali ne bayan kiya (in alfaz ke saath) «Umratun fi hajjatin.»
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7344
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن عبد الله بن دينار، عن ابن عمر وقت النبي صلى الله عليه وسلم قرنا لاهل نجد، والجحفة، لاهل الشام وذا الحليفة لاهل المدينة، قال: سمعت هذا من النبي صلى الله عليه وسلم، وبلغني ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ولاهل اليمن يلملم وذكر العراق، فقال: لم يكن عراق يومئذ".
`Hum se Muhammad bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Sauri ne bayan kiya, un se Abdullah bin Dinar ne aur un se Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne ahl-e-Najd ke liye maqaam-e-Qarn, Juhfa ko ahl-e-Sham ke liye aur Zul-Hulaifa ko ahl-e-Madinah ke liye miqat muqarrar kiya. Bayan kiya ke mein ne yeh Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna aur mujhe maloom hua hai ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke ahl-e-Yaman ke liye Yalamlam (miqat) hai aur Iraq ka zikr hua to unhon ne kaha ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke zamane mein Iraq nahi tha.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7345
حدثنا عبد الرحمن بن المبارك، حدثنا الفضيل، حدثنا موسى بن عقبة، حدثني سالم بن عبد الله، عن ابيه، عن النبي صلى الله عليه وسلم،" انه اري وهو في معرسه بذي الحليفة، فقيل له: إنك ببطحاء مباركة".
`Hum se Abdur Rahman bin Mubarak ne bayan kiya, kaha hum se Fuzail ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Musa bin Uqba ne bayan kiya, un se Salim bin Abdullah ne, un se un ke walid Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko jab ke aap maqaam-e-Zul-Hulaifa mein padao kiye hue thay, khwab dikhaya gaya aur kaha gaya ke aap ek mubarak wadi mein hain.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة