الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الِاعْتِصَامِ بِالْكِتَابِ وَالسُّنَّةِ
The Book of Holding Fast To The Qur’An and The Sunna
بَابُ مَا ذَكَرَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَحَضَّ عَلَى اتِّفَاقِ أَهْلِ الْعِلْمِ:
Chapter. The Prophet (p.b.u.h.) mentioned and recommended that the religious learned men should not differ. What common opinions the people of the two Haram (sanctuaries) of Makkah and Al-Madina had.
Hadith Number: 7331
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، عن انس بن مالك، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" اللهم بارك لهم في مكيالهم، وبارك لهم في صاعهم ومدهم"، يعني: اهل المدينة.
`Hum se Abdullah bin Maslama ne bayan kiya, un se Imam Malik ne, un se Ishaq bin Abdullah bin Abi Talha ne aur un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Ae Allah! in Madinah walon ke paimana mein unhein barkat de aur un ke saa' aur mudd mein unhein barkat de.“ Aap صلی اللہ علیہ وسلم ki murad ahl-e-Madinah (ke saa' o mudd) se thi (Madni saa' aur mudd ko bhi tareekhi azmat hasil hai).
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7332
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا ابو ضمرة، حدثنا موسى بن عقبة، عن نافع، عن ابن عمر،" ان اليهود جاءوا إلى النبي صلى الله عليه وسلم برجل وامراة زنيا، فامر بهما، فرجما قريبا من حيث توضع الجنائز عند المسجد".
`Hum se Ibrahim bin al-Munzir ne bayan kiya, kaha hum se Abu Zamra ne bayan kiya, kaha hum se Musa bin Uqba ne, un se Nafi ne aur un se Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke paas Yahudi ek mard aur ek aurat ko le kar aaye jinhon ne zina kiya tha to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne un ke liye rajm ka hukm diya aur unhein masjid ki ek jagah ke qareeb rajm kiya gaya jahan janaze rakkhe jate hain.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7333
حدثنا إسماعيل، حدثني مالك، عن عمرو مولى المطلب، عن انس بن مالك رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" طلع له احد، فقال: هذا جبل يحبنا ونحبه اللهم إن إبراهيم حرم مكة، وإني احرم ما بين لابتيها"، تابعه سهل، عن النبي صلى الله عليه وسلم في احد.
`Hum se Ismail ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne bayan kiya, un se Muttalib ke mola Amr ne aur un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne ke Uhud pahad Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ko (raste mein) dikhayi diya to aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke yeh wo pahad hai jo hum se muhabbat rakhta hai aur hum is se muhabbat rakhte hain. Ae Allah! Ibrahim Alaihis Salam ne Makkah ko hurmat wala qarar diya tha aur mein Tere hukm se is ke donon pathrele kinaron ke darmiyani ilaqa ko hurmat wala qarar deta hoon. Is riwayat ki mutabi'at Sahl Radi Allahu Anhu ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se Uhud ke mutalliq ki hai.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7334
حدثنا ابن ابي مريم، حدثنا ابو غسان، حدثني ابو حازم، عن سهل، انه كان" بين جدار المسجد مما يلي القبلة وبين المنبر ممر الشاة".
`Hum se Ibn Abi Maryam ne bayan kiya, kaha hum se Abu Gassan ne bayan kiya, kaha mujh se Abu Hazim ne bayan kiya, un se Sahl Radi Allahu Anhu ne ke Masjid-e-Nabwi ki qibla ki taraf deewar aur mimbar ke darmiyan bakriyon ke guzarne jitna fasla tha.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7335
حدثنا عمرو بن علي، حدثنا عبد الرحمن بن مهدي، حدثنا مالك، عن خبيب بن عبد الرحمن، عن حفص بن عاصم، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ما بين بيتي ومنبري روضة من رياض الجنة، ومنبري على حوضي".
`Hum se Umar bin Ali ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdur Rahman bin Mahdi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Malik ne bayan kiya, un se Khubaib bin Abdur Rahman ne bayan kiya, un se Hafs bin Aasim ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mere hujra aur mere mimbar ke darmiyan ki zameen jannat ke bagon mein se ek bagh hai aur mera yeh mimbar mere hauz par ho ga.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7336
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا جويرية، عن نافع، عن عبد الله، قال:" سابق النبي صلى الله عليه وسلم بين الخيل، فارسلت التي ضمرت منها وامدها إلى الحفياء إلى ثنية الوداع والتي لم تضمر امدها ثنية الوداع إلى مسجد بني زريق وان عبد الله كان فيمن سابق".
`Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Juwairiya ne bayan kiya, un se Nafi ne aur un se Abdullah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne ghodon ki daud karayi aur wo ghode chhode gaye jo ghod-daud ke liye tayyar kiye gaye thay to un ke daudne ka maidan maqaam-e-Hafya se Saniyyat al-Wada tak tha aur jo tayyar nahi kiye gaye thay un ke daudne ka maidan Saniyyat al-Wada se Masjid-e-Bani Zuraiq tak tha aur Abdullah Radi Allahu Anhu bhi un logon mein thay jinhon ne muqable mein hissa liya tha.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7337
حدثنا قتيبة، عن ليث، عن نافع، عن ابن عمر. ح وحدثني إسحاق، اخبرنا عيسى، وابن إدريس، وابن ابي غنية، عن ابي حيان، عن الشعبي، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" سمعت عمر على منبر النبي صلى الله عليه وسلم".
`Hum se Qutaiba ne bayan kiya, un se Laith ne, un se Nafi ne aur un se Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne (doosri sanad) aur mujh se Ishaq ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Isa aur Ibn Idrees ne khabar di aur Ibn Abi Ganiyya ne khabar di, unhein Abu Hayyan ne, unhein Sha'bi ne aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke mein ne Umar Radi Allahu Anhu ko Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke mimbar par (khutba dete) suna.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7338
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، اخبرني السائب بن يزيد، سمع عثمان بن عفان،" خطبنا على منبر النبي صلى الله عليه وسلم".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Saib bin Yazid ne khabar di, unhon ne Usman bin Affan Radi Allahu Anhu se suna jo Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke mimbar se humein khitab kar rahe thay.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7339
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا عبد الاعلى، حدثنا هشام بن حسان، ان هشام بن عروة حدثه، عن ابيه، ان عائشة قالت:" قد كان يوضع لي ولرسول الله صلى الله عليه وسلم هذا المركن، فنشرع فيه جميعا".
`Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Abdula'la ne bayan kiya, kaha hum se Hisham bin Hassan ne bayan kiya, un se Hisham bin Urwa ne bayan kiya, un se un ke walid ne ke Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke mere aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke liye yeh lagan rakkhi jati thi aur hum donon is se ek saath nahate thay.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7340
حدثنا مسدد، حدثنا عباد بن عباد، حدثنا عاصم الاحول، عن انس، قال:" حالف النبي صلى الله عليه وسلم بين الانصار، وقريش في داري التي بالمدينة.
`Hum se Masaddad ne bayan kiya, kaha hum se Abbad bin Abbad ne bayan kiya, kaha hum se Aasim al-Ahwal ne bayan kiya aur un se Anas Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Ansar aur Quraish ke darmiyan mere is ghar mein bhai chara karaya jo Madinah Munawwara mein hai.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة