الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الِاعْتِصَامِ بِالْكِتَابِ وَالسُّنَّةِ
The Book of Holding Fast To The Qur’An and The Sunna
بَابُ مَا يُذْكَرُ مِنْ ذَمِّ الرَّأْيِ وَتَكَلُّفِ الْقِيَاسِ:
Chapter. What is said against judging (in religion) made on the basis of one’s own opinion or by Qiyas (without referring to the Quran or Sunna).
Show diacritics
Hadith Number: Q7307
{ولا تقف} لا تقل {ما ليس لك به علم}.
Jaisa ke irshad e Bari Ta'ala hai (Surah Bani Israeel mein) «wa laa taq-fu, laa taqul, maa laisa laka bi-hee ilmun» yani ”na kaho woh baat jis ka tum ko ilm na ho.“


Show diacritics
Hadith Number: 7307
حدثنا سعيد بن تليد، حدثني ابن وهب، حدثني عبد الرحمن بن شريح وغيره، عن ابي الاسود، عن عروة، قال: حج علينا عبد الله بن عمرو، فسمعته يقول: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" إن الله لا ينزع العلم بعد ان اعطاكموه انتزاعا ولكن ينتزعه منهم مع قبض العلماء بعلمهم، فيبقى ناس جهال يستفتون، فيفتون برايهم، فيضلون ويضلون، فحدثت به عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم، ثم إن عبد الله بن عمرو حج بعد، فقالت: يا ابن اختي انطلق إلى عبد الله فاستثبت لي منه الذي حدثتني عنه، فجئته، فسالته، فحدثني به كنحو ما حدثني، فاتيت عائشة فاخبرتها، فعجبت، فقالت: والله لقد حفظ عبد الله بن عمرو".
Hum se Saeed bin Tulayd ne bayan kiya, kaha mujh se Abdullah bin Wahb ne, kaha mujh se Abd-ul-Rahman bin Shuraih aur in ke alawa Ibn Laya ne bayan kiya, in se Abu al-Aswad ne aur in se Urwah ne bayan kiya ke Abdullah bin Amr bin al-Aas razi Allahu anhu ne hamain le kar Hajj kiya to main ne unhein yeh kehte suna ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ilm ko, is ke baad ke tumhein diya hai ek dam se nahi utha le ga balkay usay is tarah khatm kare ga ke ulama ko in ke ilm ke saath utha le ga phir kuch jahil log baqi reh jayein ge, in se fatwa poochha jaye ga aur woh fatwa apni rai ke mutabiq dein ge. Pas woh logon ko gumrah karein ge aur woh khud bhi gumrah hon ge. Phir main ne yeh hadees Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Aisha razi Allahu anha se bayan kiya. In ke baad Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne dobara Hajj kiya to Umm al-Momineen ne mujh se kaha ke bhateejay Abdullah ke paas jao aur meere liye is hadees ko sun kar khoob mazboot kar lo jo hadees tum ne mujh se in ke wasta se bayan ki thi. Chunanche main in ke paas aaya aur main ne in se poochha to unhon ne mujh se woh hadees bayan ki, isi tarah jaisa ke woh pehle mujh se bayan kar chuke thay, phir main Aisha razi Allahu anha ke paas aaya aur unhein is ki khabar di to unhein taj-jub hua aur bolein ke wallah Abdullah bin Amr ne khoob yaad rakkha.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7308
حدثنا عبدان، اخبرنا ابو حمزة، سمعت الاعمش، قال: سالت ابا وائل: هل شهدت صفين؟، قال: نعم، فسمعت سهل بن حنيف، يقول:. ح وحدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، عن الاعمش، عن ابي وائل، قال: قال سهل بن حنيف:" يا ايها الناس، اتهموا رايكم على دينكم لقد رايتني يوم ابي جندل ولو استطيع ان ارد امر رسول الله صلى الله عليه وسلم عليه لرددته وما وضعنا سيوفنا على عواتقنا إلى امر يفظعنا إلا اسهلن بنا إلى امر نعرفه غير هذا الامر، قال: وقال ابو وائل: شهدت صفين وبئست صفون".
Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hamako Abu Hamza ne khabar di, kaha main ne Aamash ne suna, kaha ke main ne Abu Wail se poochha tum Siffeen ki larayi mein shareek thay? Kaha ke haan, phir main ne Sahl bin Hunaif ko kehte suna (doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha aur hamase Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hamase Abu Awanah ne bayan kiya, in se Aamash ne, in se Abu Wail ne bayan kiya ke Sahl bin Hunaif razi Allahu anhune (Jang e Siffeen ke mauqa par) kaha ke logo! apne deen ke muqabla mein apni rai ko be-haqeeqat samjho main ne apne Aap ko Abu Jandal razi Allahu anhuke waqia ke din (Sulah e Hudaibiya ke mauqa par) dekha ke agar meere andar Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke hukm se hatne ki taqat hoti to main is din Aap se inhiraf karta (aur kuffar e Quraish ke saath in sharait ko qabool na karta) aur hum ne jab kisi muhim par apni talwarein kaandhon par rakhein (larayi shuru ki) to in talwaron ki badolat hamain ko ek aasani mil gayi jise hum pehchante thay magar is muhim mein (yani Jang e Siffeen mein mushkil mein giriftar hain donon taraf wale apne apne dalail pesh karte hain) Abu Aamash ne kaha ke Abu Wail ne bataya ke main Siffeen mein maujood thu aur Siffeen ki larayi bhi kiya buri larayi thi jis mein Musalman aapas mein kat mare.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain