الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَحْكَامِ
The Book of Al-Ahkam (Judgements)
بَابُ الاِسْتِخْلاَفِ:
Chapter. The appointment of a caliph (to succeed another).
Show diacritics
Hadith Number: 7217
حدثنا يحيى بن يحيى، اخبرنا سليمان بن بلال، عن يحيى بن سعيد، سمعت القاسم بن محمد، قال: قالت عائشة رضي الله عنها: واراساه، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ذاك لو كان وانا حي فاستغفر لك وادعو لك، فقالت 64 عائشة 64: وا ثكلياه، والله إني لاظنك تحب موتي، ولو كان ذاك لظللت آخر يومك معرسا ببعض ازواجك، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: بل انا واراساه، لقد هممت او اردت ان ارسل إلى ابي بكر وابنه فاعهد، ان يقول القائلون او يتمنى المتمنون، ثم قلت: يابى الله ويدفع المؤمنون، او يدفع الله ويابى المؤمنون".
`Hum se Yahya bin Yahya ne bayan kiya, kaha hum ko Sulaiman bin Bilal ne khabar di, unhein Yahya bin Said ne, kaha mein ne Qasim bin Muhammad se suna ke Aisha Radi Allahu Anha ne kaha (apne sar dard par) haye sar phata jata hai. Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke agar tum mar jao aur mein zinda raha to mein tumhare liye magfirat karoon ga aur tumhare liye dua karoon ga. Aisha Radi Allahu Anha ne is par kaha afsos mera khayal hai ke Aap meri maut chahte hain aur agar aisa ho gaya to Aap din ke aakhri waqt zaroor kisi doosri aurat se shadi kar lein ge. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke tu nahi balki mein apna sar dukhne ka izhaar karta hoon. Mera irada hua tha ke Abu Bakr aur un ke bete ko bula bhejoon aur unhein (Abu Bakr ko) khalifa bana doon taake is par kisi dawa karne wale ya is ki khwahish rakhne wale ke liye koi gunjayish na rahe lekin phir mein ne socha ke Allah khud (kisi doosre ko khalifa) nahi hone de ga aur musalman bhi ise dafa karein ge. Ya (Aap ne is tarah farmaya ke) Allah dafa kare ga aur musalman kisi aur ko khalifa na hone dein ge.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7218
حدثنا محمد بن يوسف، اخبرنا سفيان، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال: قيل لعمر: الا تستخلف، قال:" إن استخلف، فقد استخلف من هو خير، مني ابو بكر، وإن اترك، فقد ترك من هو خير مني، رسول الله صلى الله عليه وسلم، فاثنوا عليه، فقال: راغب راهب، وددت اني نجوت منها كفافا لا لي ولا علي لا اتحملها حيا ولا ميتا".
`Hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne bayan kiya, kaha hum ko Sufyan Sauri ne khabar di, unhein Hisham bin Urwa ne, unhein un ke walid ne aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Umar Radi Allahu Anhu jab zakhmi hue to un se kaha gaya ke aap apna khalifa kisi ko kyun nahi muntakhab kar dete, aap ne farmaya ke agar kisi ko khalifa muntakhab karta hoon (to is ki bhi misal hai ke) us shakhs ne apna khalifa muntakhab kiya tha jo mujh se behtar thay yaani Abu Bakr Radi Allahu Anhu aur agar mein ise musalmanon ki raye par chhodta hoon to (is ki bhi misal maujood hai ke) us buzurg ne (khalifa ka intikhab musalmanon ke liye) chhod diya tha jo mujh se behtar thay yaani Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم . Phir logon ne aap ki tareef ki, phir unhon ne kaha ke koi to dil se meri tareef karta hai koi darr kar. Ab mein to yahi ganimat samajhta hoon ke khilafat ki zimmedariyon mein Allah ke haan barabar barabar hi chhoot jaoon, na mujhe kuch sawab mile aur na koi azab mein ne khilafat ka bojh apni zindagi bhar uthaya. Ab marne par mein is baar ko nahi uthaoon ga.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7219
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، عن معمر، عن الزهري، اخبرني انس بن مالك رضي الله عنه، انه سمع خطبة عمر الآخرة حين جلس على المنبر وذلك الغد من يوم توفي النبي صلى الله عليه وسلم، فتشهد وابو بكر صامت لا يتكلم، قال:" كنت ارجو ان يعيش رسول الله صلى الله عليه وسلم حتى يدبرنا، يريد بذلك ان يكون آخرهم، فإن يك محمد صلى الله عليه وسلم قد مات، فإن الله تعالى قد جعل بين اظهركم نورا تهتدون به، هدى الله محمدا صلى الله عليه وسلم، وإن ابا بكر صاحب رسول الله صلى الله عليه وسلم، ثاني اثنين، فإنه اولى المسلمين باموركم، فقوموا، فبايعوه، وكانت طائفة منهم قد بايعوه قبل ذلك في سقيفة بني ساعدة، وكانت بيعة العامة على المنبر"، قال الزهري، عن انس بن مالك، سمعت عمر يقول لابي بكر يومئذ: اصعد المنبر، فلم يزل به حتى صعد المنبر، فبايعه الناس عامة.
`Hum se Ibrahim bin Musa ne bayan kiya, kaha hum ko Hisham ne khabar di, unhein Ma'mar ne, unhein Zuhri ne, unhein Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne khabar di ke unhon ne Umar Radi Allahu Anhu ka doosra khutba suna jab aap mimbar par baithe hue thay, yeh waqia Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ki wafat ke doosre din ka hai. Unhon ne kalima-e-shahadat parha, Abu Bakr Radi Allahu Anhu khamosh thay aur kuch nahi bol rahe thay, phir kaha mujhe umeed thi ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم zinda rahein ge aur hamare kaamon ki tadbeer o intezam karte rahein ge. Un ka mansha yeh tha ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم in sab logon ke baad tak zinda rahein ge to agar aaj Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم wafat pa gaye hain to Allah Ta'ala ne tumhare samne noor (Quran) ko baqi rakkha hai jis ke zariya tum hidayat hasil karte raho ge aur Allah ne Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم ko is se hidayat ki aur Abu Bakr Radi Allahu Anhu Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke saathi (jo Gar-e-Saur mein) do mein ke doosre hain, bila shakk wo tumhare umoor-e-khilafat ke liye tamam musalmanon mein sab se behtar hain, pas utho aur un se bai'at karo. Ek jamaat un se pehle hi Saqifa Bani Sa'ida mein bai'at kar chuki thi, phir aam logon ne mimbar par bai'at ki. Zuhri ne bayan kiya, un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne, unhon ne Umar Radi Allahu Anhu se suna ke wo Abu Bakr Radi Allahu Anhu se, is din keh rahe thay, mimbar par chadh aaiye. Chunancha wo is ka barabar israr karte rahe, yahan tak ke Abu Bakr Radi Allahu Anhu mimbar par chadh gaye aur sab logon ne aap se bai'at ki.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7220
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابيه، عن محمد بن جبير بن مطعم، عن ابيه، قال:" اتت النبي صلى الله عليه وسلم امراة، فكلمته في شيء، فامرها ان ترجع إليه، قالت: يا رسول الله، ارايت إن جئت ولم اجدك، كانها تريد الموت، قال: إن لم تجديني فاتي ابا بكر".
`Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya, un se un ke walid ne, un se Muhammad bin Jubair bin Mut'im ne, un se un ke walid ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke paas ek khatoon aayin aur kisi maamle mein Aap se guftagu ki, phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne un se kaha ke wo dobara Aap ke paas aayein. Unhon ne arz kiya: ya Rasul Allah! agar mein aaoon aur Aap ko na paoon to phir Aap kya farmate hain? Jaise un ka ishara wafat ki taraf ho. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke agar mujhe na pao to Abu Bakr ke paas aaiyo.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7221
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن سفيان، حدثني قيس بن مسلم، عن طارق بن شهاب، عن ابي بكر رضي الله عنه، قال لوفد بزاخة:" تتبعون اذناب الإبل حتى يري الله خليفة نبيه صلى الله عليه وسلم والمهاجرين امرا يعذرونكم به".
`Hum se Masaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, un se Sufyan ne, un se Qais bin Muslim ne, un se Tariq bin Shihab ne ke Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne qabail-e-Buzakha ke wafd se (jo Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki wafat ke baad murtad ho gaya tha aur ab maafi ke liye aaya tha) farmaya ke oonton ki dumon ke peeche peeche jangalon mein ghoomte raho, yahan tak ke Allah Ta'ala apne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke khalifa aur Muhajireen ko koi amr batla de jis ki wajah se wo tumhara qasoor maaf kar dein.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain