الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَحْكَامِ
The Book of Al-Ahkam (Judgements)
بَابُ الْحُكْمِ فِي الْبِئْرِ وَنَحْوِهَا:
Chapter. Judgement regarding cases involving wells, etc.
Show diacritics
Hadith Number: 7183
حدثنا إسحاق بن نصر، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا سفيان، عن منصور، والاعمش، عن ابي وائل، قال: قال عبد الله، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا يحلف على يمين صبر يقتطع مالا وهو فيها فاجر إلا لقي الله وهو عليه غضبان، فانزل الله: إن الذين يشترون بعهد الله وايمانهم ثمنا قليلا سورة آل عمران آية 77.
`Hum se Ishaq bin Nafr ne bayan kiya, kaha hum se Abdur Razzaq ne bayan kiya, kaha hum ko Sufyan ne khabar di, unhein Mansoor aur A'mash ne, un se Abu Wa'il ne bayan kiya ke Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jo shakhs aisi qasam khaye jo jhooti ho jis ke zariya wo kisi doosre ka maal maar le to Allah se wo is haal mein mile ga ke wo is par gazab-naak ho ga.“ Phir Allah Ta'ala ne yeh ayat (is ki tasdeeq mein) nazil farmayi «Innallazeena yashtaroona bi'ahdi-llahi wa aimanihim samanan qaleela» ”Bilashuba jo log Allah ke ahd aur is ki qasamoon ko thodi poonji ke badle khareedte hain“ al-Ayah.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7184
فجاء الاشعث، وعبد الله يحدثهم، فقال: في نزلت وفي رجل خاصمته في بئر، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: الك بينة، قلت: لا، قال: فليحلف، قلت: إذا يحلف، فنزلت: إن الذين يشترون بعهد الله سورة آل عمران آية 77.
Itne mein Ash'as Radi Allahu Anhu bhi aa gaye. Abhi Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu un se hadees bayan kar hi rahe thay. Unhon ne kaha ke mere hi baare mein yeh ayat nazil hui thi aur ek shakhs ke baare mein mera un se kunwein ke baare mein jhagda hua to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne (mujh se) kaha ke tumhare paas koi gawahi hai? Mein ne kaha ke nahi. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke phir fareeq-e-mukhalif ki qasam par faisla ho ga. Mein ne kaha ke phir to yeh (jhooti) qasam kha le ga. Chunancha ayat «Innallazeena yashtaroona bi'ahdi-llahi» ”Bilashuba jo log Allah ke ahd ko“ ilkh nazil hui.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain