الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْفِتَنِ
The Book of Al-Fitan
بَابُ مَنْ كَرِهَ أَنْ يُكَثِّرَ سَوَادَ الْفِتَنِ وَالظُّلْمِ:
Chapter. Whoever disliked to increase the number of (those people who practice) Al-Fitan (trials and afflictions) and oppressions (against the believers).
Hadith Number: 7085
حدثنا عبد الله بن يزيد، حدثنا حيوة وغيره، قال: حدثنا ابو الاسود، وقال الليث، عن ابي الاسود، قال:" قطع على اهل المدينة بعث، فاكتتبت فيه، فلقيت عكرمة، فاخبرته، فنهاني اشد النهي، ثم قال: اخبرني ابن عباس: ان اناسا من المسلمين كانوا مع المشركين يكثرون سواد المشركين على رسول الله صلى الله عليه وسلم، فياتي السهم فيرمى، فيصيب احدهم فيقتله، او يضربه فيقتله، فانزل الله تعالى: إن الذين توفاهم الملائكة ظالمي انفسهم سورة النساء آية 97.
`Hum se Abdullah bin Yazid ne bayan kiya, kaha hum se Haiwa bin Shuraih wagaira ne bayan kiya ke hum se Abul Aswad ne bayan kiya, ya Laith ne Abul Aswad se bayan kiya ke ahl-e-Madinah ka ek lashkar tayyar kiya gaya (yaani Abdullah bin Zubair Radi Allahu Anhuma ke zamana mein Sham walon se muqabla karne ke liye) aur mera naam is mein likh diya gaya. Phir mein Ikrima se mila aur mein ne unhein khabar di to unhon ne mujhe shirkat se sakhti ke saath mana kiya. Phir kaha ke Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne mujhe khabar di hai ke kuch musalman jo mushrikeen ke saath rehte thay wo Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke khilaf (gazawat) mein mushrikeen ki jama'at ki ziyadati ka baais bante. Phir koi teer aata aur in mein se kisi ko lag jata aur qatl kar deta ya unhein koi talwar se qatl kar deta, phir Allah Ta'ala ne yeh ayat nazil ki «Innallazeena tawaffahum-ul-mala'ikatu zalimee anfusihim» ”Bila shakk wo log jin ko farishte faut karte hain is haal mein ke wo apni jaanon par zulm karne wale hote hain.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة