الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْفِتَنِ
The Book of Al-Fitan
بَابُ كَيْفَ الأَمْرُ إِذَا لَمْ تَكُنْ جَمَاعَةٌ:
Chapter. What a Muslim should do if there is no righteous group of Muslims.
Hadith Number: 7084
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا الوليد بن مسلم، حدثنا ابن جابر، حدثني بسر بن عبيد الله الحضرمي، انه سمع ابا إدريس الخولاني، انه سمع حذيفة بن اليمان، يقول:" كان الناس يسالون رسول الله صلى الله عليه وسلم عن الخير، وكنت اساله عن الشر مخافة ان يدركني، فقلت: يا رسول الله، إنا كنا في جاهلية وشر، فجاءنا الله بهذا الخير فهل بعد هذا الخير من شر؟، قال: نعم، قلت: وهل بعد ذلك الشر من خير؟، قال: نعم، وفيه دخن، قلت: وما دخنه؟، قال: قوم يهدون بغير هديي تعرف منهم وتنكر، قلت: فهل بعد ذلك الخير من شر؟، قال: نعم، دعاة على ابواب جهنم من اجابهم إليها قذفوه فيها، قلت: يا رسول الله، صفهم لنا، قال: هم من جلدتنا، ويتكلمون بالسنتنا، قلت: فما تامرني إن ادركني ذلك، قال: تلزم جماعة المسلمين وإمامهم، قلت: فإن لم يكن لهم جماعة ولا إمام؟، قال: فاعتزل تلك الفرق كلها، ولو ان تعض باصل شجرة حتى يدركك الموت وانت على ذلك".
`Hum se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Waleed bin Muslim ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Jaber ne bayan kiya, un se Busr bin Ubaidullah al-Khasrami ne bayan kiya, unhon ne Abu Idrees Khaulani se suna, unhon ne Huzaifa bin al-Yaman Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke log Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se khair ke baare mein poocha karte thay lekin mein shar ke baare mein poochta tha. Is khauf se ke kahin meri zindagi mein hi shar na paida ho jaye. Mein ne poocha: ya Rasul Allah! hum jahiliyat aur shar ke daur mein thay phir Allah Ta'ala ne humein is khair se nawaza to kya is khair ke baad phir shar ka zamana ho ga? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke haan. Mein ne poocha: kya is shar ke baad phir khair ka zamana aaye ga? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya haan lekin is khair mein kamzori ho gi. Mein ne poocha ke kamzori kya ho gi? Farmaya ke kuch log hon ge jo mere tariqe ke khilaf chalein ge, un ki baaz baatein acchi hon gi lekin baaz mein tum burayi dekho ge. Mein ne poocha kya phir daur-e-khair ke baad daur-e-shar aaye ga? Farmaya ke haan jahannum ki taraf se bulane wale dozakh ke darwazon par khade hon ge, jo un ki baat maan le ga wo is mein unhein jhatak dein ge. Mein ne kaha: ya Rasul Allah! un ki kuch sifat bayan kijiye. Farmaya ke wo hamare hi jaise hon ge aur hamari hi zaban (Arabi) bolein ge. Mein ne poocha: phir agar mein ne wo zamana paya to Aap mujhe un ke baare mein kya hukm dete hain? Farmaya ke musalmanon ki jama'at aur un ke imam ke saath rehna. Mein ne kaha ke agar musalmanon ki jama'at na ho aur na un ka koi imam ho? Farmaya ke phir in tamam logon se alag ho kar khwah tumhein jangal mein ja kar darakhton ki jadein chabani padein yahan tak ke isi halat mein tumhari maut aa jaye.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة