الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْفِتَنِ
The Book of Al-Fitan
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «لاَ تَرْجِعُوا بَعْدِي كُفَّارًا، يَضْرِبُ بَعْضُكُمْ رِقَابَ بَعْضٍ» :
Chapter. The statement of Prophet (p.b.u.h.):“Do not renegade as disbelievers after me by striking (cutting) the neck of one another.”
Show diacritics
Hadith Number: 7076
حدثنا عمر بن حفص، حدثني ابي حدثنا الاعمش، حدثنا شقيق، قال: قال عبد الله، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" سباب المسلم فسوق، وقتاله كفر".
`Hum se Umar bin Hafs ne bayan kiya, kaha mujh se mere walid ne bayan kiya, kaha hum se A'mash ne bayan kiya, un se Shaqeeq ne bayan kiya, kaha ke Abdullah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Musalman ko gaali dena fisq hai aur is ko qatl karna kufr hai.“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7077
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، اخبرني واقد بن محمد، عن ابيه، عن ابن عمر، انه سمع النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" لا ترجعوا بعدي كفارا يضرب بعضكم رقاب بعض".
`Hum se Hajjaj bin Minhal ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shu'ba ne bayan kiya, kaha mujh ko Waqid ne khabar di, unhein un ke walid ne aur unhein Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne, unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mere baad kufr ki taraf na laut jaana ke ek doosre ki gardan maarne lago.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7078
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، حدثنا قرة بن خالد، حدثنا ابن سيرين، عن عبد الرحمن بن ابي بكرة، عن ابي بكرة، وعن رجل آخر هو افضل في نفسي من عبد الرحمن بن ابي بكرة، عن ابي بكرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" خطب الناس، فقال: الا تدرون اي يوم هذا؟، قالوا: الله ورسوله اعلم، قال: حتى ظننا انه سيسميه بغير اسمه، فقال: اليس بيوم النحر؟، قلنا: بلى يا رسول الله، قال: اي بلد هذا؟ اليست بالبلدة الحرام؟، قلنا: بلى يا رسول الله، قال: فإن دماءكم، واموالكم، واعراضكم، وابشاركم، عليكم حرام كحرمة يومكم هذا، في شهركم هذا، في بلدكم هذا، الا هل بلغت؟، قلنا: نعم، قال: اللهم اشهد، فليبلغ الشاهد الغائب، فإنه رب مبلغ يبلغه لمن هو اوعى له فكان كذلك، قال: لا ترجعوا بعدي كفارا يضرب بعضكم رقاب بعض، فلما كان يوم حرق ابن الحضرمي حين حرقه جارية بن قدامة، قال: اشرفوا على ابي بكرة، فقالوا: هذا ابو بكرة يراك، قال: عبد الرحمن فحدثتني امي، عن ابي بكرة، انه قال: لو دخلوا علي ما بهشت بقصبة".
`Hum se Masaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya Qattan ne bayan kiya, kaha hum se Qurra bin Khalid ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Sireen ne bayan kiya, un se Abdur Rahman bin Abi Bakra ne bayan kiya aur ek doosre shakhs (Hamid bin Abdur Rahman) se bhi suna jo meri nazar mein Abdur Rahman bin Abi Bakra se acche hain aur un se Abu Bakra Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul صلی اللہ علیہ وسلم ne logon ko Yaum-un-Nahr ko khutba diya aur farmaya ”Tumhein maloom hai yeh kaun sa din hai?“ Logon ne kaha ke Allah aur us ke Rasul ko zyada ilm hai. Bayan kiya ke (is ke baad Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki khamoshi se) hum yeh samjhe ke Aap صلی اللہ علیہ وسلم is ka koi aur naam rakkhein ge. Lekin Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Kya yeh qurbani ka din (Yaum-un-Nahr) nahi hai?“ Hum ne arz kiya: kyun nahi, ya Rasul Allah! Aap ne phir poocha ”Yeh kaun sa shehar hai? Kya yeh al-Balda (Makkah Mukarrama) nahi hai?“ Hum ne arz kiya: kyun nahi, ya Rasul Allah! Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Phir tumhara khoon, tumhare maal, tumhari izzat aur tumhari khaal tum par isi tarah hurmat wale hain jis tarah is din ki hurmat is mahine aur is shehar mein hai. Kya mein ne pahuncha diya?“ Hum ne kaha ji haan. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Ae Allah! gawah rehna. Pas mera yeh paigam maujood log gair-maujood logon ko pahuncha dein kyunke bahut se pahunchane wale is paigam ko is tak pahunchayein ge jo is ko zyada mahfooz rakhne wala ho ga.“ Chunancha aisa hi hua aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mere baad kafir na ho jaana ke baaz baaz ki gardan maarne lago.“ Phir jab wo din aaya jab Abdullah Amr bin Hazrami ko Jariya bin Qudama ne ek makan mein gher kar jala diya to Jariya ne apne lashkar walon se kaha zara Abu Bakra ko to jhaanko wo kis khayal mein hai. Unhon ne kaha yeh Abu Bakra maujood hain tum ko dekh rahe hain. Abdur Rahman bin Abi Bakra kehte hain mujh se meri walida Hala bint Galeez ne kaha ke Abu Bakra ne kaha agar yeh log (teen Jariya ke lashkar wale) mere ghar mein bhi ghus aayein aur mujh ko maarne lagein to mein un par ek baans ki chhari bhi nahi chalaoon ga.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7079
حدثنا احمد بن إشكاب، حدثنا محمد بن فضيل، عن ابيه، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا ترتدوا بعدي كفارا يضرب بعضكم رقاب بعض".
`Hum se Ahmad bin Ishkab ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Muhammad bin Fuzail ne bayan kiya, un se un ke walid ne bayan kiya, un se Ikrima ne bayan kiya aur un se Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mere baad kafir na ho jaana ke tum mein baaz baaz ki gardan maarne lage.“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7080
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن علي بن مدرك، سمعت ابا زرعة بن عمرو بن جرير، عن جده جرير، قال: قال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم في حجة الوداع:" استنصت الناس، ثم قال: لا ترجعوا بعدي كفارا يضرب بعضكم رقاب بعض".
`Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shu'ba ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ali bin Mudrik ne bayan kiya, kaha mein ne Abu Zur'a bin Amr bin Jareer se suna, un se un ke dada Jareer Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne mujh se Hujjat-ul-Wada ke mauqe par farmaya ke logon ko khamosh kar do. Phir Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mere baad kafir na ho jaana ke tum ek doosre ki gardan maarne lag jao.“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain