الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب التَّعْبِيرِ
The Book of The Interpretation of Dreams
بَابُ إِذَا رَأَى مَا يَكْرَهُ فَلاَ يُخْبِرْ بِهَا وَلاَ يَذْكُرْهَا:
Chapter. If some one saw a bad dream which he disliked, he should not be tell it to anybody, nor mention it.
Hadith Number: 7044
حدثنا سعيد بن الربيع، حدثنا شعبة، عن عبد ربه بن سعيد، قال: سمعت ابا سلمة، يقول: لقد كنت ارى الرؤيا فتمرضني، حتى سمعت ابا قتادة يقول: وانا كنت لارى الرؤيا تمرضني، حتى سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" الرؤيا الحسنة من الله، فإذا راى احدكم ما يحب فلا يحدث به إلا من يحب، وإذا راى ما يكره، فليتعوذ بالله من شرها ومن شر الشيطان وليتفل ثلاثا ولا يحدث بها احدا، فإنها لن تضره".
`Hum se Said bin Rabee ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shu'ba ne bayan kiya, un se Abd-e-Rabbahu bin Said ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mein ne Abu Salama se suna, unhon ne kaha ke mein (bure) khwab dekhta tha aur is ki wajah se bimar pad jata tha. Aakhir mein ne Qatada Radi Allahu Anhu se suna unhon ne bayan kiya ke mein bhi khwab dekhta aur mein bhi bimar pad jata. Aakhir mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko yeh farmate suna ke acche khwab Allah ki taraf se hote hain pas jab koi acche khwab dekhe to is ka zikr sirf usi se kare jo ise aziz ho aur jab bura khwab dekhe to Allah ki is ke shar se panah maange aur shaitan ke shar se aur teen martaba thoo-thoo kar de aur is ka kisi se zikr na kare pas wo ise hargiz koi nuqsan nahi pahuncha sake ga.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7045
حدثنا إبراهيم بن حمزة، حدثني ابن ابي حازم والدراوردي، عن يزيد بن عبد الله بن اسامة بن الهاد الليثي، عن عبد الله بن خباب،عن ابي سعيد الخدري، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" إذا راى احدكم الرؤيا يحبها فإنها من الله فليحمد الله عليها وليحدث بها، وإذا راى غير ذلك مما يكره، فإنما هي من الشيطان، فليستعذ من شرها، ولا يذكرها لاحد، فإنها لن تضره".
`Hum se Ibrahim bin Hamza ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Ibn Abi Hazim aur Darawardi ne bayan kiya, un se Yazid ne bayan kiya, un se Abdullah bin Khabbab ne aur un se Abu Said Khudri Radi Allahu Anhu ne, unhon ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke jab tum mein se koi shakhs khwab dekhe jise wo pasand karta ho to wo Allah ki taraf se hota hai aur is par use Allah ki tareef karni chahiye aur ise bayan bhi karna chahiye aur jab koi khwab aisa dekhe jise wo napasand karta ho to wo shaitan ki taraf se hai aur use chahiye ke is ke shar se Allah ki panah maange aur is ka zikr kisi se na kare, kyunke wo ise hargiz nuqsan nahi pahuncha sake ga.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة