الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب التَّعْبِيرِ
The Book of The Interpretation of Dreams
بَابُ الْقَيْدِ فِي الْمَنَامِ:
Chapter. (Seeing) oneself fettered in a dream.
Hadith Number: 7017
حدثنا عبد الله بن صباح، حدثنا معتمر، سمعت عوفا، حدثنا محمد بن سيرين، انه سمع ابا هريرة، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا اقترب الزمان لم تكد تكذب رؤيا المؤمن، ورؤيا المؤمن جزء من ستة واربعين جزءا من النبوة، وما كان من النبوة فإنه لا يكذب"، قال محمد: وانا اقول هذه، قال: وكان يقال: الرؤيا ثلاث: حديث النفس، وتخويف الشيطان، وبشرى من الله، فمن راى شيئا يكرهه فلا يقصه على احد، وليقم فليصل، قال: وكان يكره الغل في النوم، وكان يعجبهم القيد، ويقال: القيد ثبات في الدين، وروى قتادة، ويونس، وهشام، وابو هلال، عن ابن سيرين، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وادرجه بعضهم كله في الحديث، وحديث عوف ابين، وقال يونس: لا احسبه إلا عن النبي صلى الله عليه وسلم في القيد، قال ابو عبد الله: لا تكون الاغلال إلا في الاعناق.
`Hum se Abdullah bin Sabah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Mu'tamir ne bayan kiya, unhon ne kaha mein ne Auf se suna, un se Muhammad bin Sireen ne bayan kiya, unhon ne Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jab qayamat qareeb ho gi to momin ka khwab jhoota nahi ho ga aur momin ka khwab nabuwwat ke chhiyalees (46) hisson mein se ek hissa hai.“ Muhammad bin Sireen Rahimahullah (jo ke ilm-e-ta'beer ke bahut bade aalim thay) ne kaha ke nabuwwat ka hissa jhoot nahi ho sakta. Abu Hurairah Radi Allahu Anhu kehte thay ke khwab teen tarah ke hain. Dil ke khayalat, shaitan ka darana aur Allah ki taraf se khushkhabri. Pas agar koi shakhs khwab mein buri cheez dekhta hai to use chahiye ke is ka zikr kisi se na kare aur khada ho kar namaz parhne lage. Muhammad bin Sireen ne kaha ke Abu Hurairah Radi Allahu Anhu khwab mein tauq ko napasand karte thay aur qaid dekhne ko accha samajhte thay aur kaha gaya hai ke qaid se murad deen mein sabit-qadami hai. Aur Qatada, Yunus, Hisham aur Abu Hilal ne Ibn Sireen se naql kiya hai, unhon ne Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se, unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se. Aur baaz ne yeh sari riwayat hadees mein shumar ki hai lekin Auf ki riwayat zyada wazeh hai aur Yunus ne kaha ke qaid ke baare mein riwayat ko mein Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki hadees hi samajhta hoon. Abu Abdullah Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha ke tauq hamesha gardanon hi mein hote hain.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة