الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الدِّيَاتِ
The Book of Ad-Diyait (Blood - Money)
بَابُ الْقِصَاصِ بَيْنَ الرِّجَالِ وَالنِّسَاءِ فِي الْجِرَاحَاتِ:
Chapter. Al-Qisas (Law of Equality in punishment) in cases of injury among men and women.
Hadith Number: Q6886
وقال اهل العلم: يقتل الرجل بالمراة، ويذكر عن عمر: تقاد المراة من الرجل في كل عمد يبلغ نفسه فما دونها من الجراح، وبه قال عمر بن عبد العزيز، وإبراهيم وابو الزناد، عن اصحابه، وجرحت اخت الربيع إنسانا، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: القصاص.
Ahal e ilm ne kaha hai ke mard ko aurat ke badle mein qatl kiya jaye ga. Umar razi Allahu anhune kaha ke aurat se mard ke qatl misl e amd ya is se kam doosre zakhmon ka qisas liya jaye. Yahi qaul Umar bin Abd-ul-Aziz, Ibrahim, Abu al-Zinad ka apne asatiza se manqool hai. Aur Rabee ki behen ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein ek shakhs ko zakhmi kar diya thu to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne qisas ka faisla farmaya thu.
Hadith Number: 6886
حدثنا عمرو بن علي بن بحر، حدثنا يحيى، حدثنا سفيان، حدثنا موسى بن ابي عائشة، عن عبيد الله بن عبد الله، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" لددنا النبي صلى الله عليه وسلم في مرضه، فقال: لا تلدوني، فقلنا: كراهية المريض للدواء، فلما افاق، قال: لا يبقى احد منكم إلا لد غير العباس فإنه لم يشهدكم".
Hum se Umar bin Ali Falas ne bayan kiya, kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya, in se Musa bin Abi Aisha ne bayan kiya, in se Ubaidullah bin Abdullah ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke munh mein (marz-ul-wafat ke mauqa par) Aap ki marzi ke khilaf hum ne dawa daali. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mere halaq mein dawa na daalo lekin hum ne samjha ke mareez hone ki wajah se dawa peene se nafrat kar rahe hain lekin jab Aap ko hosh hua to farmaya ke tum jitne log ghar mein ho sab ke halaq mein zabardasti dawa daali jaye siwa Abbas razi Allahu anhu ke ke woh is waqt maujood nahi thay.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة