الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الدِّيَاتِ
The Book of Ad-Diyait (Blood - Money)
بَابُ الْعَفْوِ فِي الْخَطَإِ بَعْدَ الْمَوْتِ:
Chapter. Excusing somebody who killed another by mistake.
Show diacritics
Hadith Number: 6883
حدثنا فروة بن ابي المغراء، حدثنا علي بن مسهر، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة، هزم المشركون يوم احد. ح وحدثني محمد بن حرب، حدثنا ابو مروان يحيى بن ابي زكرياء يعني الواسطي، عن هشام، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" صرخ إبليس يوم احد في الناس: يا عباد الله، اخراكم فرجعت اولاهم على اخراهم حتى قتلوا اليمان" فقال حذيفة: ابي ابي، فقتلوه، فقال حذيفة: غفر الله لكم، قال: وقد كان انهزم منهم قوم حتى لحقوا بالطائف.
Hum se Farwah bin Abi al-Maghraa ne bayan kiya, kaha hum se Ali bin Mushir ne bayan kiya, in se Hisham bin Urwah ne, in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke mushrikeen ne Uhud ki larayi mein pehle shikast khayi thi (doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha mujh se Muhammad bin Harb ne bayan kiya, in se Abu Marwan Yahya ibn Abi Zakariya ne bayan kiya, in se Hisham ne, in se Urwah ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Iblees Uhud ki larayi mein logon mein cheekha. Ae Allah ke bando! Apne peeche walon se, magar yeh sunte hi aage ke Musalman peeche ki taraf palat pare yahan tak ke Musalmanon ne (ghalati mein) Huzayfah ke walid Yaman razi Allahu anhu ko qatl kar diya. Is par Huzayfah razi Allahu anhu ne kaha ke yeh meere walid hain, meere walid! Lekin unhein qatl hi kar dala. Phir Huzayfah razi Allahu anhu ne kaha Allah tumhari maghfirat kare. Bayan kiya ke mushrikeen ki ek jama'at maidan se bhaag kar Taif tak pahunch gayi ku.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain