الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الْأَيْمَانِ وَالنُّذُورِ
The Book of Oaths and Vows
بَابُ الْحَلِفِ بِعِزَّةِ اللَّهِ وَصِفَاتِهِ وَكَلِمَاتِهِ:
Chapter. To swear by Allah’s Izza (Power and Honour) His Qualities, and His Speech.
Show diacritics
Hadith Number: Q6661
وقال ابن عباس: كان النبي صلى الله عليه وسلم، يقول: اعوذ بعزتك، وقال ابو هريرة: عن النبي صلى الله عليه وسلم: يبقى رجل بين الجنة والنار، فيقول: يا رب، اصرف وجهي عن النار لا وعزتك لا اسالك غيرها، وقال ابو سعيد: قال النبي صلى الله عليه وسلم، قال الله: لك ذلك، وعشرة امثاله، وقال ايوب: وعزتك لا غنى بي، عن بركتك.
Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kaha karte thay ”(Ae Allah!) Main teri izzat ki panah laita hoon .“ Aur Abu Hurairah razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se bayan kiya ke ek shakhs jannat aur dozakh ke darmiyan baqi reh jaye ga aur arz kare ga: Ae mere Rabb! Mera chehra dozakh se doosri taraf pher de , hargiz nahi , teri izzat ki qasam , main kuch aur tujh se nahi maangoon ga . Abu Saeed razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kaha ke Allah Ta'ala farmaya ke tere liye yeh hai aur is ke das guna aur zyada . Ayub alaihissalam ne kaha ke ”aur teri izzat ki qasam , teri barkat se main be-parwa nahi ho sakta .“


Show diacritics
Hadith Number: 6661
حدثنا آدم، حدثنا شيبان، حدثنا قتادة، عن انس بن مالك، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا تزال جهنم، تقول: هل من مزيد؟ حتى يضع رب العزة فيها قدمه، فتقول: قط قط وعزتك، ويزوى بعضها إلى بعض"، رواه شعبة، عن قتادة.
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya , kaha hum se Shayban ne bayan kiya , kaha hum se Qatadah ne bayan kiya , in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jahannum barabar yahi kehti rahe gi ke kya kuch aur hai kya kuch aur hai ? Aakhir Allah Tabarak wa Ta'ala apna qadam is mein rakh de ga to woh keh uthe gi bas bas main bhar gayi , teri izzat ki qasam! Aur is ka baaz hissa baaz ko khane lage ga .“ Is riwayat ko Shubah ne Qatadah se naqal kiya .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain