الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الرِّقَاقِ
The Book of Ar-Riqaq (Softening of The Hearts)
بَابُ الرَّجَاءِ مَعَ الْخَوْفِ:
Chapter. Hope (that Allah will forgive one’s sins and will accept one’s good deeds) with fear (of Allah).
Show diacritics
Hadith Number: Q6469
وقال سفيان: ما في القرآن آية اشد علي من: لستم على شيء حتى تقيموا التوراة والإنجيل وما انزل إليكم من ربكم سورة المائدة آية 68.
Aur Sufyan bin Uyaynah ne kaha ke Quran ki koi aayat mujh par itni sakht nahi guzri jitni (Surah al-Maida) ki yeh aayat hai «lastum alaa shay-in hat-taa tuqeemut-tauraata wal-injeela wa maa unzhila ilaikum-mir-rabbikum» ke ”Ae Paighambar ke aqarib walo! tumhara tareeq (mazhab) koi cheez nahi hai jab tak Tauraat aur Injeel aur in kitabon par jo tum par utri hain poora amal na karo .“


Show diacritics
Hadith Number: 6469
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا يعقوب بن عبد الرحمن، عن عمرو بن ابي عمرو، عن سعيد بن ابي سعيد المقبري، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" إن الله خلق الرحمة يوم خلقها مائة رحمة، فامسك عنده تسعا وتسعين رحمة، وارسل في خلقه كلهم رحمة واحدة، فلو يعلم الكافر بكل الذي عند الله من الرحمة لم ييئس من الجنة، ولو يعلم المؤمن بكل الذي عند الله من العذاب لم يامن من النار".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Yaqoob bin Abd-ul-Rahman ne bayan kiya , in se Amr bin Abi Amr ne bayan kiya , in se Saeed bin Abi Saeed Muqbiri ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ne rahmat ko jis din banaya to is ke sau hisse kiye aur apne paas un mein se ninaanway rakkhe . Is ke baad tamam makhlooq ke liye sirf ek hissa rahmat ka bheja . Pas agar kafir ko woh tamam raham maloom ho jaye jo Allah ke paas hai to woh jannat se na-umeed na ho aur agar momin ko woh tamam azab maloom ho jayein jo Allah ke paas hain to dozakh se kabhi be-khauf na ho .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain