الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَدَبِ
The Book of Al-Adab (Good Manners)
بَابُ قَوْلِ الرَّجُلِ لِلشَّيْءِ لَيْسَ بِشَيْءٍ. وَهْوَ يَنْوِي أَنَّهُ لَيْسَ بِحَقٍّ:
Chapter. The description of something by a man as ‘nothing’ while he means that it is not true.
Hadith Number: Q6213
وقال ابن عباس قال النبي صلى الله عليه وسلم للقبرين يعذبان بلا كبير وإنه لكبير
Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne do qabr walon ke haq mein farmaya ke kisi bare gunah mein azab nahi diye jaate aur haalan ke woh bara gunah hai.
Hadith Number: 6213
حدثنا محمد بن سلام، اخبرنا مخلد بن يزيد، اخبرنا ابن جريج، قال ابن شهاب:، اخبرني يحيى بن عروة، انه سمع عروة، يقول: قالت عائشة: سال اناس رسول الله صلى الله عليه وسلم عن الكهان، فقال لهم رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ليسوا بشيء"، قالوا: يا رسول الله، فإنهم يحدثون احيانا بالشيء يكون حقا، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" تلك الكلمة من الحق يخطفها الجني، فيقرها في اذن وليه قر الدجاجة، فيخلطون فيها اكثر من مائة كذبة".
Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya, kaha hum ko Makhlad bin Yazid ne khabar di, kaha hum ko Ibn Jurayj ne khabar di ke Ibn Shihab ne bayan kiya ke mujhko Yahya bin Urwah ne khabar di, unhon ne Urwah se suna, kaha ke Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke kuch logon ne Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam se kahinon ke baare mein poochha. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in se farmaya ke in ki (pesheen-goiyon ki) koi haisiyat nahi. Sahabah ne arz kiya: ya Rasool اللہ! Lekin woh baaz auqat aaisi baatein karte hain jo sahih sabit hoti hain. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh baat, sachi baat hoti hai jise jin farishton se sun kar ura leta hai aur phir usay apne wali (kahin) ke kaan mein murgh ki aawaz ki tarah daalta hai. Is ke baad kahin is (ek sachi baat mein) sau se zyada jhoot mila dete hain.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة