الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَدَبِ
The Book of Al-Adab (Good Manners)
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «تَرِبَتْ يَمِينُكَ» . «وَعَقْرَى حَلْقَى» :
Chapter. The statement of the Prophet: Taribat yaminuka (may your right hand be in dust)! an Aqra halqa. (it is just an exclamatory expression, the literal meaning of which is not meant here. It expresses disapproval.)
Hadith Number: 6156
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عروة، عن عائشة، قالت: إن افلح اخا ابي القعيس استاذن علي بعد ما نزل الحجاب، فقلت: والله لا آذن له حتى استاذن رسول الله صلى الله عليه وسلم، فإن اخا ابي القعيس ليس هو ارضعني، ولكن ارضعتني امراة ابي القعيس، فدخل علي رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت: يا رسول الله، إن الرجل ليس هو ارضعني ولكن ارضعتني امراته، قال:" ائذني له فإنه عمك تربت يمينك" قال عروة: فبذلك كانت عائشة تقول: حرموا من الرضاعة ما يحرم من النسب.
Hum se Yahya bin Bukayr ne bayan kiya kaha hamase Layth bin Saad ne bayan , in se Aqeel ne , in se Ibn Shihab ne , in se Urwah ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Abu Qais ke bhai Aflah (mere raza'ee chacha ne) mujh se parda ka hukm nazil hone ke baad andar aane ki ijazat chahi , main ne kaha ke Allah ki qasam jab tak Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ijazat na dein ge main andar aane ki ijazat nahi doon gi . Kyunke Abu Qais ke bhai ne mujhe doodh nahi pilaya balkay Abu Qais ki biwi ne doodh pilaya hai . Phir jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam tashreef laaye to main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Mard ne to mujhe doodh nahi pilaya tha , doodh to in ki biwi ne pilaya thu , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke unhein andar aane ki ijazat de do , kyunke woh tumhare chacha hain , tumhare hath mein matti lage . Urwah ne kaha ke isi wajah se Aisha razi Allahu anha kehti thien ke jitne rishte khoon ki wajah se haram hote hain woh raza'at se bhi haram hi samjho .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6157
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا الحكم، عن إبراهيم، عن الاسود، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" اراد النبي صلى الله عليه وسلم ان ينفر، فراى صفية على باب خبائها كئيبة حزينة لانها حاضت، فقال: عقرى حلقى , لغة لقريش إنك لحابستنا، ثم قال: اكنت افضت يوم النحر، يعني الطواف قالت: نعم، قال: فانفري إذا".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne bayan kiya , unhon ne hamase Hakam bin Utaybah ne bayan kiya , in se Ibrahim Nakhai ne , in se Aswad ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (Hajj se) wapsi ka irada kiya to dekha ke Safiyyah razi Allahu anha apne khaime ke darwaza par ranjeeda khari hain kyunke woh haiza ho gayi thien . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in se farmaya «aqra hulqa» (yeh Quraish ka muhawara hai) ab tum hamain roko gi! Phir daryaft farmaya kya tum ne qurbani ke din tawaf e afadha kar liya tha ? Unhon ne kaha ke ji haan , farmaya ke phir chalo .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة