الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَدَبِ
The Book of Al-Adab (Good Manners)
بَابُ حَقِّ الضَّيْفِ:
Chapter. The right of the guest.
Hadith Number: 6134
حدثنا إسحاق بن منصور، حدثنا روح بن عبادة، حدثنا حسين، عن يحيى بن ابي كثير، عن ابي سلمة بن عبد الرحمن، عن عبد الله بن عمرو، قال: دخل علي رسول الله صلى الله عليه وسلم فقال:" الم اخبر انك تقوم الليل وتصوم النهار" قلت: بلى، قال:" فلا تفعل قم ونم وصم وافطر، فإن لجسدك عليك حقا، وإن لعينك عليك حقا، وإن لزورك عليك حقا، وإن لزوجك عليك حقا، وإنك عسى ان يطول بك عمر، وإن من حسبك ان تصوم من كل شهر ثلاثة ايام، فإن بكل حسنة عشر امثالها فذلك الدهر كله" قال: فشددت فشدد علي، فقلت: فإني اطيق غير ذلك، قال:" فصم من كل جمعة ثلاثة ايام" قال: فشددت فشدد علي، قلت: اطيق غير ذلك، قال:" فصم صوم نبي الله داود" قلت: وما صوم نبي الله داود؟ قال:" نصف الدهر".
Hum se Ishaq bin Mansoor ne bayan kiya, kaha hum se Rauh bin Ubadah ne, kaha hum se Husain ne, in se Yahya bin Abi Bakr ne, in se Abu Salamah bin Abd-ur-Rahman ne aur in se Abdullah bin Amr razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam mere paas tashreef laaye aur farmaya, kiya yeh meri khabar sahih hai ke tum raat bhar ibadat karte rehte ho aur din mein roze rakhte ho? Main ne kaha ke ji haan yeh sahih hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aisa na karo, ibadat bhi karo aur so bhi, roze bhi rakkho aur bila roze bhi raho, kyunke tumhare jism ka bhi tum par haq hai, tumhari aankhon ka bhi tum par haq hai, tum se mulaqat ke liye aane walon ka bhi tum par haq hai, tumhari biwi ka bhi tum par haq hai, umeed hai ke tumhari umr lambi ho gi, tumhare liye yahi kafi hai ke har mahina mein teen roze rakkho, kyunke har naiki ka badla das guna milta hai, is tarah zindagi bhar ka roza ho ga. Unhon ne bayan kiya ke main ne sakhti chahi to Aap ne mere oopar sakhti kar di. Main ne arz kiya ke main is se zyada ki taqat rakhta hoon. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir har hafte teen roza rakkha kar, bayan kiya ke main ne aur sakhti chahi aur Aap ne mere oopar sakhti kar di. Main ne arz kiya ke main is se bhi zyada ki taqat rakhta hoon. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir Allah ke Nabi Dawood alaihissalam jaisa roza rakh. Main ne poochha, Allah ke Nabi Dawood alaihissalam ka roza kaisa thu. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ek din roza ek din iftaar goya aadhi umr ke roze.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة