الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَدَبِ
The Book of Al-Adab (Good Manners)
بَابُ مَا لاَ يُسْتَحْيَا مِنَ الْحَقِّ لِلتَّفَقُّهِ فِي الدِّينِ:
Chapter. One should not feel shy of the truth in the order to comprehend (the knowledge of) the religion.
Show diacritics
Hadith Number: 6121
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن زينب ابنة ابي سلمة، عن ام سلمة رضي الله عنها، قالت: جاءت ام سليم إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالت: يا رسول الله، إن الله لا يستحي من الحق،" فهل على المراة غسل إذا احتلمت؟ فقال: نعم، إذا رات الماء".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne bayan kiya, in se Hisham bin Urwah ne, in se un ke walid ne, in se Zaynub bint Abi Salamah razi Allahu anha ne aur in se Umm Salamah razi Allahu anha ne bayan kiya ke Umm Sulaym razi Allahu anha Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huien aur arz kiya: ya Rasool Allah! Allah haq baat se haya nahi karta kya aurat ko jab ihtilam ho to is par ghusl wajib hai? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan agar aurat mani ki tari dekhe to is par bhi ghusl wajib hai.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6122
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا محارب بن دثار، قال: سمعت ابن عمر، يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" مثل المؤمن كمثل شجرة خضراء لا يسقط ورقها ولا يتحات"، فقال القوم: هي شجرة كذا هي شجرة كذا، فاردت ان اقول هي النخلة وانا غلام شاب فاستحييت، فقال:" هي النخلة" وعن شعبة، حدثنا خبيب بن عبد الرحمن، عن حفص بن عاصم، عن ابن عمر، مثله. وزاد فحدثت به عمر، فقال: لو كنت قلتها لكان احب إلي من كذا وكذا.
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, kaha hum se Muharib bin Disar ne, kaha ke main ne Ibn Umar razi Allahu anha se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”momin ki misal is sarsabz darakht ki hai, jis ke patte nahi jhartay. Sahabah ne kaha ke yeh falan darakht hai, yeh falan darakht hai. Mere dil mein aaya ke kahoon ke yeh khajoor ka darakht hai lekin kyunke main nau-jawan tha, is liye mujhko bolte huay haya aayi. Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh khajoor ka darakht hai.“ Aur isi sanad se Shubah se riwayat hai ke kaha hamase Khubaib bin Abd-ur-Rahman ne, in se Hafs bin Aasim ne aur in se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne isi tarah bayan kiya aur yeh izafa kiya ke phir main ne is ka zikr Umar razi Allahu anhu se kiya to unhon ne kaha agar tum ne keh diya hota to mujhe itna itna maal milne se bhi zyada khushi haasil hoti.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6123
حدثنا مسدد، حدثنا مرحوم، سمعت ثابتا، انه سمع انسا رضي الله عنه، يقول: جاءت امراة إلى النبي صلى الله عليه وسلم تعرض عليه نفسها فقالت: هل لك حاجة في؟ فقالت ابنته: ما اقل حياءها، فقال:" هي خير منك، عرضت على رسول الله صلى الله عليه وسلم نفسها".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Marhoom bin Abd-ul-Aziz ne bayan kiya, unhon ne kaha ke main ne kaha ke main ne Sabit se suna aur unhon ne Anas razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke ek khatoon Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huien aur apne Aap ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke nikah ke liye pesh kiya aur arz kiya: kiya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko mujh se nikah ki zaroorat hai? Is par Anas razi Allahu anhu ki sahibzadi bolien, woh kitni be-haya ku. Anas razi Allahu anhu ne kaha ke woh tum se to achhi thien unhon ne apne Aap ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke nikah ke liye pesh kiya.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain