الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الطِّبِّ
The Book of Medicine
بَابُ رُقْيَةِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:
Chapter. The Ruqya of the Prophet (i.e., what he used to recite while doing a Ruqya).
Hadith Number: 5742
حدثنا مسدد، حدثنا عبد الوارث، عن عبد العزيز، قال:" دخلت انا وثابت على انس بن مالك، فقال ثابت: يا ابا حمزة اشتكيت، فقال انس: الا ارقيك برقية رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: بلى، قال: اللهم رب الناس مذهب الباس، اشف انت الشافي لا شافي إلا انت، شفاء لا يغادر سقما".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Waris bin Saeed ne bayan kiya, in se Abdul Aziz bin Suhayb ne bayan kiya ke main aur Sabit Banani Anas bin Malik razi Allahu anhu ki khidmat mein hazir huay. Sabit ne kaha: Abu Hamza! (Anas razi Allahu anhu ki kuniyat) meri tabiyat kharab ho gayi hai. Anas razi Allahu anhu ne kaha phir kyun na main tum par woh dua parh kar dum kar doon jise Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam parha karte thay, Sabit ne kaha ke zaroor kijiye. Anas razi Allahu anhu ne is par yeh dua parh kar dum kiya «allahumma rabban-naasi muzh-hibal-ba'si ish-fi antash-shaafi la shaafiya illa anta, shifa-al-la yughadiru saqaman» ”Ae Allah! Logon ke Rabb! Takleef ko door kar dene wale! Shifa ata farma, tu hi shifa dene wala hai tere siwa koi shifa dene wala nahi, aaisi shifa ata farma ke beemari bilkul baqi na rahe.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5743
حدثنا عمرو بن علي، حدثنا يحيى، حدثنا سفيان، حدثني سليمان، عن مسلم، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها" ان النبي صلى الله عليه وسلم كان يعوذ بعض اهله يمسح بيده اليمنى، ويقول: اللهم رب الناس، اذهب الباس اشفه وانت الشافي، لا شفاء إلا شفاؤك، شفاء لا يغادر سقما"، قال سفيان، حدثت به منصورا، فحدثني عن إبراهيم، عن مسروق، عن عائشة نحوه.
Hum se Amr bin Ali Fallas ne bayan kiya, kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya, in se Sulayman Aamash ne, in se Muslim bin Sabeeh ne, in se Masrooq ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam apne ghar ke baaz (beemaron) par yeh dua parh kar dum karte aur apna dahna hath pherte aur yeh dua parhte «allahumma rabban-naasi azh-hibil-ba'sa, ish-fahu wa antash-shaafi, la shifa-a illa shifauka, shifa-al-la yughadiru saqaman» ”Ae Allah! Logon ke paalne wale! Takleef ko door kar de, usay shifa dede tu hi shifa dene wala hai. Teri shifa ke siwa koi shifa nahi, aaisi shifa (de) ke kisi qism ki beemari baqi na reh jaye.“ Sufyan Sawri ne bayan kiya ke main ne yeh dua Mansoor bin Mutamir ke samne bayan ki to unhon ne mujh se yeh Ibrahim Nakhai se bayan ki, in se Masrooq ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne isi tarah bayan ki.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5744
حدثني احمد ابن ابي رجاء، حدثنا النضر، عن هشام بن عروة، قال: اخبرني ابي، عن عائشة ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" كان يرقي يقول امسح الباس رب الناس بيدك الشفاء لا كاشف له إلا انت.
Mujh se Ahmad bin Abu al-Rajaa ne bayan kiya, kaha hum se Nadr bin Shumayl ne bayan kiya, in se Hisham bin Urwah ne, unhein in ke walid ne khabar di aur unhein Aisha razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam dum kiya karte thay aur yeh dua parhte thay «imsah-il-ba'sa rabban-naasi, bi-yadika-sh-shifa-u, la kaashifa lahu illa anta» ”takleef ko door kar de, Ae logon ke paalnahar! Tere hi hath mein shifa hai, tere siwa takleef ko door karne wala koi aur nahi hai.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5745
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: حدثني عبد ربه بن سعيد، عن عمرة، عن عائشة رضي الله عنها، ان النبي صلى الله عليه وسلم كان يقول للمريض:" بسم الله تربة ارضنا بريقة بعضنا يشفى سقيمنا بإذن ربنا".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya, kaha ke mujh se Abd-ur-Rabbih bin Saeed ne bayan kiya, in se Umrah ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam mareez ke liye (kalme ki ungli zameen par laga kar) yeh dua parhte thay «bismillahi, turbatu ardina. bi-reeqati ba'dina, yushfa saqeemuna bi-izhni rabbina» ”Allah ke naam ki madad se hamari zameen ki matti hum mein se kisi ke thook ke saath taake hamara mareez shifa paye hamare Rabb ke hukm se.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5746
حدثني صدقة بن الفضل، اخبرنا ابن عيينة، عن عبد ربه بن سعيد، عن عمرة، عن عائشة قالت:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يقول في الرقية:" تربة ارضنا، وريقة بعضنا يشفى سقيمنا بإذن ربنا".
Mujh se Sadaqah bin Fadl ne bayan kiya, kaha hum ko Ibn Uyaynah ne khabar di, unhein Abdullah bin Saeed ne, unhein Umrah ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam dum karte waqt yeh dua parha karte thay «turbatu ardina, wa reeqatu ba'dina, yushfa saqeemuna, bi-izhni rabbina» ”hamari zameen ki matti aur hamara baaz thook hamare Rabb ke hukm se hamare mareez ko shifa ho.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة