الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الطِّبِّ
The Book of Medicine
بَابُ التَّلْبِينَةِ لِلْمَرِيضِ:
Chapter. At-Talbina (a kind of porridge prepared from milk, honey and white flour, etc.) for the patient.
Show diacritics
Hadith Number: 5689
حدثنا حبان بن موسى، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس بن يزيد، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها: انها كانت تامر بالتلبين للمريض وللمحزون على الهالك، وكانت تقول إني سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" إن التلبينة تجم فؤاد المريض وتذهب ببعض الحزن".
Hum se Habban bin Musa ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah ne khabar di, unhein Yunus bin Yazid ne khabar di, unhein Aqeel ne, unhein Ibn Shihab ne, unhein Urwah ne ke Aisha razi Allahu anha beemar ke liye aur mayyit ke saugwaron ke liye talbeenah (rawa, doodh aur shehad mila kar daliya) pakaane ka hukm deti thien aur farmati thien ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke talbeenah mareez ke dil ko sukoon pahunchata hai aur gham ko door karta hai (kyunke usay peene ke baad umooman neend aa jati hai yeh zood-hazam bhi hai).


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5690
حدثنا فروة بن ابي المغراء، حدثنا علي بن مسهر، حدثنا هشام، عن ابيه، عن عائشة" انها كانت تامر بالتلبينة، وتقول: هو البغيض النافع".
Hum se Farwah bin Abi Maghra ne bayan kiya, kaha hum se Ali bin Mushar ne bayan kiya, in se Hisham ne, in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke woh talbeenah pakaane ka hukm deti thien aur farmati thien ke agarchay woh (mareez ko) napasand hota hai lekin woh is ko faida deta hai.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain