الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الطِّبِّ
The Book of Medicine
بَابُ الدَّوَاءِ بِأَبْوَالِ الإِبِلِ:
Chapter. To treat with the urine of camels.
Show diacritics
Hadith Number: 5686
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا همام، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه" ان ناسا اجتووا في المدينة فامرهم النبي صلى الله عليه وسلم ان يلحقوا براعيه يعني الإبل فيشربوا من البانها وابوالها، فلحقوا براعيه فشربوا من البانها وابوالها حتى صلحت ابدانهم، فقتلوا الراعي، وساقوا الإبل، فبلغ النبي صلى الله عليه وسلم، فبعث في طلبهم، فجيء بهم فقطع ايديهم وارجلهم وسمر اعينهم"، قال قتادة: فحدثني محمد بن سيرين، ان ذلك كان قبل ان تنزل الحدود.
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Humam ne bayan kiya, in se Qatadah ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne ke (Uraina ke) kuch logon ko Madinah Munawwarah ki aab o hawa muwafiq nahi aayi thi to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in se farmaya ke woh Aap (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam) ke charwahe ke haan chale jayein yani oonton mein aur in ka doodh aur peshab piyein. Chunanche woh log Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke charwahe ke paas chale gaye aur oonton ka doodh aur peshab piya jab woh tandurust ho gaye to unhon ne charwahe ko qatl kar diya aur oonton ko haank kar le gaye. Aap ko jab is ka ilm hua to Aap ne unhein talash karne ke liye logon ko bheja jab unhein laya gaya to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hukm se in ke bhi hath aur paon kaat diye gaye aur in ki aankhon mein salayi pher di gayi (jaisa ke unhon ne charwahe ke saath kiya tha). Qatadah ne bayan kiya ke mujh se Muhammad bin Sireen ne bayan kiya ke yeh hudood ke nazil hone se pehle ka waqia hai.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain