الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المرضى
The Book of Patients
بَابُ عِيَادَةِ الْمُغْمَى عَلَيْهِ:
Chapter. To visit an unconscious person.
Hadith Number: 5651
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا سفيان، عن ابن المنكدر سمع جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، يقول: مرضت مرضا، فاتاني النبي صلى الله عليه وسلم يعودني، وابو بكر، وهما ماشيان فوجداني اغمي علي، فتوضا النبي صلى الله عليه وسلم، ثم صب وضوءه علي، فافقت فإذا النبي صلى الله عليه وسلم، فقلت: يا رسول الله كيف اصنع في مالي، كيف اقضي في مالي؟، فلم يجبني بشيء، حتى نزلت آية الميراث.
Hum se Abdullah bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, in se Ibn al-Munkadir ne, unhon ne Jabir bin Abdullah se suna, unhon ne bayan kiya ke main ek martaba beemar para to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur Abu Bakr Siddiq razi Allahu anhu paidal meri iyadat ko tashreef laye in buzurgon ne dekha ke mujh par be-hoshi ghalib hai. Chunanche Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne wuzu kiya aur apne wuzu ka pani mujh par chhirka, is se mujhe hosh aa gaya to main ne dekha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tashreef rakhte hain, main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Main apne maal mein kya karoon kis tarah is ka faisla karoon? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe koi jawab nahi diya. Yahan tak ke mirath ki aayat nazil hui.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة