الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأضاحي
The Book of Al-Adahi
بَابُ سُنَّةِ الأُضْحِيَّةِ:
Chapter. The legal way of Al-Udhiya.
Show diacritics
Hadith Number: Q5545
وقال ابن عمر هي سنة ومعروف.
Aur Ibn Umar razi Allahu anhuma ne kaha ke yeh sunnat hai aur yeh amar mashhoor hai.


Show diacritics
Hadith Number: 5545
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن زبيد، عن الشعبي، عن البراء رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن اول ما نبدا به في يومنا هذا ان نصلي، ثم نرجع فننحر، من فعله فقد اصاب سنتنا، ومن ذبح قبل، فإنما هو لحم قدمه لاهله، ليس من النسك في شيء"، فقام ابو بردة بن نيار وقد ذبح، فقال: إن عندي جذعة، فقال:" اذبحها ولن تجزي عن احد بعدك"، قال مطرف:، عن عامر، عن البراء، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من ذبح بعد الصلاة تم نسكه، واصاب سنة المسلمين".
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Zubaid Ayami ne, in se Shabi ne aur in se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aaj (Eid-ul-Adha ke din) ki ibtida hum namaz (Eid) se karein ge phir wapas aa kar qurbani karein ge jo is tarah kare ga woh hamari sunnat ke mutabiq kare ga lekin jo shakhs (namaz e Eid se) pehle zibah kare ga to is ki haisiyat sirf gosht ki ho gi jo us ne apne ghar walon ke liye tayyar kar liya hai qurbani woh qat'an bhi nahi. Is par Abu Burdah bin Niyar razi Allahu anhu khare huay unhon ne (namaz e Eid se pehle hi) zibah kar liya tha aur arz kiya ke mere paas ek saal se kam umr ka bakra hai (kya is ki dobara qurbani ab namaz ke baad kar loon?) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is ki qurbani kar lo lekin tumhare baad yeh kisi aur ke liye kafi nahi ho ga. Mutarrif ne Aamir se bayan kiya aur in se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne namaz e Eid ke baad qurbani ki is ki qurbani poori ho gi aur us ne Musalmanon ki sunnat ke mutabiq amal kiya.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5546
حدثنا مسدد، حدثنا إسماعيل، عن ايوب، عن محمد، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من ذبح قبل الصلاة فإنما ذبح لنفسه، ومن ذبح بعد الصلاة، فقد تم نسكه، واصاب سنة المسلمين".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Ismail ne bayan kiya, in se Ayub ne, in se Muhammad bin Sireen ne aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne namaz e Eid se pehle qurbani kar li us ne apni zaat ke liye janwar zibah kiya aur jis ne namaz e Eid ke baad qurbani ki is ki qurbani poori hui. Us ne Musalmanon ki sunnat ko pa liya.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain