الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الذَّبَائِحِ وَالصَّيْدِ
The Book of Slaughtering and Hunting
بَابُ إِذَا أَصَابَ قَوْمٌ غَنِيمَةً فَذَبَحَ بَعْضُهُمْ غَنَمًا أَوْ إِبِلاً بِغَيْرِ أَمْرِ أَصْحَابِهِمْ لَمْ تُؤْكَلْ:
Chapter. If some people get some war booty and then some of them slaughter some sheep or camels without the permission of their companions, such animals should not be eaten, as is indicated by the Hadith of the Prophet narrated by Rafi.
Show diacritics
Hadith Number: Q5543
لحديث رافع، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وقال طاوس، وعكرمة، في ذبيحة السارق، اطرحوه.
Aur in mein se kuch log apne doosre sathiyon ki ijazat ke baghair (taqseem se pehle) ghaneemat ki bakri ya oont mein se kuch zibah kar lein to aisa gosht khana halal nahi hai ba-wajah Rafi bin Khadeej razi Allahu anhu ki hadees ke jo unhon ne Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam se naqal ki hai. Taoos aur Ikrimah ne chor ke zabiha ke mutalliq kaha ke usay phenk do (maloom hua ke woh khana haram hai).


Show diacritics
Hadith Number: 5543
حدثنا مسدد، حدثنا ابو الاحوص، حدثنا سعيد بن مسروق، عن عباية بن رفاعة، عن ابيه، عن جده رافع بن خديج، قال: قلت للنبي صلى الله عليه وسلم: إننا نلقى العدو غدا وليس معنا مدى، فقال:" ما انهر الدم وذكر اسم الله فكلوه، ما لم يكن سن ولا ظفر، وساحدثكم عن ذلك: اما السن فعظم، واما الظفر فمدى الحبشة"، وتقدم سرعان الناس فاصابوا من الغنائم، والنبي صلى الله عليه وسلم في آخر الناس، فنصبوا قدورا، فامر بها فاكفئت وقسم بينهم، وعدل بعيرا بعشر شياه، ثم ند بعير من اوائل القوم، ولم يكن معهم خيل فرماه رجل بسهم فحبسه الله، فقال:" إن لهذه البهائم اوابد كاوابد الوحش، فما فعل منها هذا فافعلوا مثل هذا".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Abu al-Ahwas ne bayan kiya, in se Saeed bin Masrooq ne bayan kiya, in se Abayah bin Rifaa ne, in se un ke walid ne aur in se Abayah ke dada Rafi bin Khadeej razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam se arz kiya ke kal hamara muqabla dushman se ho ga aur hamare paas chhurriyaan nahi hain? Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo aala khoon baha de aur (janwaron ko zibah karte waqt) is par Allah ka naam liya gaya ho usay khao bashart-e-ke zibah ka aala daant aur nakhun na ho aur main is ki wajah tumhein bataoon ga. Daant to haddi hai aur nakhun Habshiyon ki chhurri hai aur jaldi karne wale log aage barh gaye thay aur ghaneemat par qabza kar liya tha lekin Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam peeche ke sahabah ke saath thay chunanche (aage pahunchne walon ne janwar zibah kar ke) handiyaan pakne ke liye charha dein lekin Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne unhein ulat dene ka hukm farmaya. Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne ghaneemat logon ke darmiyan taqseem ki. Is taqseem mein ek oont ko das bakriyon ke barabar Aap ne qarar diya tha phir aage ke logon se ek oont bharak kar bhaag gaya. Logon ke paas ghore nahi thay phir ek shakhs ne is oont par teer maara aur Allah Ta'ala ne usay rok liya. Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh janwar bhi kabhi wahshi janwaron ki tarah bharakne lagte hain. Is liye jab in mein se koi aisa kare to tum bhi in ke saath aisa hi karo.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain