الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الذَّبَائِحِ وَالصَّيْدِ
The Book of Slaughtering and Hunting
بَابُ مَا نَدَّ مِنَ الْبَهَائِمِ فَهْوَ بِمَنْزِلَةِ الْوَحْشِ:
Chapter. Any domestic animal that runs away should be treated like a wild animal.
Hadith Number: Q5509
واجازه ابن مسعود، وقال ابن عباس:" ما اعجزك من البهائم مما في يديك فهو كالصيد وفي بعير تردى في بئر من حيث قدرت عليه فذكه، وراى ذلك علي، وابن عمر، وعائشة".
Ibn Masood razi Allahu anhuma ne bhi is ki ijazat di hai. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke jo janwar tumhare qaboo mein hone के bawajood tumhein aajiz kar de (aur zibah na karne de) woh bhi shikar hi ke hukm mein hai aur (farmaya ke) oont agar kunwien mein gir jayein to jis taraf se mumkin ho usay zibah kar lo. Ali, Ibn Umar aur Aisha razi Allahu anhum ka yahi fatwa hai.
Hadith Number: 5509
حدثنا عمرو بن علي، حدثنا يحيى، حدثنا سفيان، حدثنا ابي، عن عباية بن رفاعة بن رافع بن خديج، عن رافع بن خديج، قال: قلت: يا رسول الله، إنا لاقو العدو غدا وليست معنا مدى، فقال: اعجل او ارن ما انهر الدم وذكر اسم الله فكل، ليس السن والظفر، وساحدثك: اما السن فعظم، واما الظفر فمدى الحبشة"، واصبنا نهب إبل وغنم فند منها بعير فرماه رجل بسهم فحبسه، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن لهذه الإبل اوابد كاوابد الوحش، فإذا غلبكم منها شيء فافعلوا به هكذا".
Hum se Amr bin Ali ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne, in se un ke walid ne, in se Abayah bin Rifaa bin Rafi bin Khadeej ne aur in se Rafi bin Khadeej razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne arz ki: ya Rasool اللہ! Kal hamara muqabla dushman se ho ga aur hamare paas chhurriyaan nahi hain? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir jaldi kar lo ya (is ke bajaye) «aran» kaha yani jaldi kar lo jo aala khoon baha de aur zabiha par Allah ka naam liya gaya ho to usay khao. Albatta daant aur nakhun na hona chahiye aur is ki wajah bhi bata doon. Daant to haddi hai aur nakhun Habshiyon ki chhurri hai. Aur hamain ghaneemat mein oont aur bakriyaan milien in mein se ek oont bharak kar bhaag para to ek sahab ne teer se maar kar gira liya. Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh oont bhi baaz auqat jangli janwaron ki tarah bharakte hain, is liye agar in mein se bhi koi tumhare qaboo se bahar ho jaye to is ke saath aisa hi karo.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة