الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَطْعِمَةِ
The Book of Foods (Meals)
بَابُ الأُدْمِ:
Chapter. Al-Udm (additional food taken with bread).
Show diacritics
Hadith Number: 5430
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا إسماعيل بن جعفر، عن ربيعة، انه سمع القاسم بن محمد، يقول:" كان في بريرة ثلاث سنن ارادت عائشة ان تشتريها، فتعتقها، فقال اهلها: ولنا الولاء، فذكرت ذلك لرسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: لو شئت شرطتيه لهم فإنما الولاء لمن اعتق، قال: واعتقت فخيرت في ان تقر تحت زوجها او تفارقه، ودخل رسول الله صلى الله عليه وسلم يوما بيت عائشة وعلى النار برمة تفور، فدعا بالغداء، فاتي بخبز وادم من ادم البيت، فقال: الم ار لحما؟ قالوا: بلى يا رسول الله، ولكنه لحم تصدق به على بريرة فاهدته لنا، فقال: هو صدقة عليها وهدية لنا".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Ismail bin Jafar ne , in se Rabia ne , unhon ne Qasim bin Muhammad se suna , Aap ne bayan kiya ke Barira razi Allahu anha ke saath shariat ki teen sunnatein qaim huiein . Aisha razi Allahu anha ne unhein (in ke malikon se) khareed kar aazad karna chaha to in ke malikon ne kaha ke walaa' ka talluq hamase hi qaim ho ga . (Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke) main ne is ka zikr Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se kiya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar tum yeh shart laga bhi lo jab bhi walaa' isi ke saath qaim ho ga jo aazad kare ga . Phir bayan kiya ke Barira aazad ki gayiein aur unhein ikhtiyar diya gaya ke agar woh chahein to apne shohar ke saath rahein ya in se alag ho jayein aur teesri baat yeh hai ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ek din Aisha razi Allahu anha ke ghar tashreef laye , choolhay par haandi pak rahi thi . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne dopahar ka khana talab farmaya to roti aur ghar mein maujood salan pesh kiya gaya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke kiya main ne gosht (pakte huay) nahi dekha hai ? Arz kiya ke dekha hai ya Rasool Allah! Lekin woh gosht to Barira ko sadqa mein mila hai , unhon ne hamain hadiya ke taur par diya hai . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke in ke liye woh sadqa hai lekin hamare liye hadiya hai .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain