الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَطْعِمَةِ
The Book of Foods (Meals)
بَابُ تَعَرُّقِ الْعَضُدِ:
Chapter. To eat the flesh of a foreleg (by stripping the bone of its meat with the teeth).
Hadith Number: 5406
حدثني محمد بن المثنى، قال: حدثني عثمان بن عمر، حدثنا فليح، حدثنا ابو حازم المدني، حدثنا عبد الله بن ابي قتادة، عن ابيه، قال:" خرجنا مع النبي صلى الله عليه وسلم نحو مكة".
Mujh se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya , kaha ke mujh se Usman bin Amr ne bayan kiya , in se Falih bin Sulayman ne bayan kiya , in se Abu Hazim Salamah bin Dinar Madni ne , kaha hum se Abdullah bin Abi Qatadah ne aur in se un ke walid ne bayan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath Makkah ki taraf nikle (Sulah Hudaybiyah ke mauqa par) doosri sanad (hadees dekhein 5407)
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5407
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا محمد بن جعفر، عن ابي حازم، عن عبد الله بن ابي قتادة السلمي، عن ابيه، انه قال:" كنت يوما جالسا مع رجال من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم في منزل في طريق مكة ورسول الله صلى الله عليه وسلم نازل امامنا والقوم محرمون وانا غير محرم، فابصروا حمارا وحشيا وانا مشغول اخصف نعلي فلم يؤذنوني له واحبوا لو اني ابصرته، فالتفت، فابصرته، فقمت إلى الفرس، فاسرجته، ثم ركبت ونسيت السوط والرمح، فقلت لهم: ناولوني السوط والرمح، فقالوا: لا والله لا نعينك عليه بشيء، فغضبت، فنزلت فاخذتهما، ثم ركبت فشددت على الحمار فعقرته، ثم جئت به وقد مات، فوقعوا فيه ياكلونه، ثم إنهم شكوا في اكلهم إياه وهم حرم، فرحنا وخبات العضد معي، فادركنا رسول الله صلى الله عليه وسلم، فسالناه عن ذلك، فقال: معكم منه شيء فناولته العضد، فاكلها حتى تعرقها وهو محرم". قال محمد بن جعفر: وحدثني زيد بن اسلم، عن عطاء بن يسار، عن ابي قتادة، مثله.
Aur mujh se Abdul Aziz bin Abdullah Owaysi ne bayan kiya , kaha hum se Muhammad bin Jafar ne bayan kiya , in se Abu Hazim ne bayan kiya , in se Abdullah bin Abi Qatadah Aslami ne , in se un ke walid ne bayan kiya ke main ek din Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke chand sahabah ke saath Makkah ke rasta mein ek manzil par baitha hua tha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hamare aage parao kiya tha . Sahabah ikraam razi Allahu anhum ihram ki halat mein thay lekin main ihram mein nahi tha . Logon ne ek gor-khar ko dekha . Main is waqt اپنا joota taankne mein masroof tha . In logon ne mujhe is gor-khar ke mutalliq bataya kuch nahi lekin chahte thay ke main kisi tarah dekh loon . Chunanche main mutawajjo hua aur main ne usay dekh liya , phir main ghore ke paas gaya aur usay zain pehna kar is par sawar ho gaya lekin kora aur nezah bhool gaya thu . Main ne in logon se kaha ke kora aur nezah mujhe de do . Unhon ne kaha ke nahi Allah ki qasam! Hum tumhari shikar ke muamla mein koi madad nahi karein ge . (kyunke hum mahram hain) main ghussa ho gaya aur main ne utar kar khud yeh donon cheezin uthayiein phir sawar ho kar is par hamla kiya aur zibah kar liya . Jab woh thanda ho gaya to main usay saath laya phir paka kar main ne aur sab ne khaya lekin baad mein unhein shubha hua ke ihram ki halat mein is (shikar ka gosht) khana kaisa hai ? Phir hum rawana huay aur main ne is ka gosht chhupa kar rakkha . Jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas aaye to hum ne Aap se is ke mutalliq poochha . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya , tumhare paas kuch bacha hua bhi hai ? Main ne wahi dast pesh kiya aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne bhi usay khaya . Yahan tak ke is ka gosht Aap ne apne daanton se khainch khainch kar khaya aur Aap ihram mein thay . Muhammad bin Jafar ne bayan kiya ke mujh se Zayd bin Aslam ne yeh waqia bayan kiya , in se Ata bin Yasar ne aur in se Abu Qatadah razi Allahu anhu ne isi tarah sara waqia bayan kiya .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة