الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَطْعِمَةِ
The Book of Foods (Meals)
بَابُ الأَكْلِ مِمَّا يَلِيهِ:
Chapter. To eat of the dish what is nearer to you.
Show diacritics
Hadith Number: Q5377
. وقال انس: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" اذكروا اسم الله ولياكل كل رجل مما يليه".
Aur Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”(khane se pehle) Allah ka naam liya karo aur har shakhs apne nazdeek se khaye .“


Show diacritics
Hadith Number: 5377
حدثني عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني محمد بن جعفر، عن محمد بن عمرو بن حلحلة الديلي، عن وهب بن كيسان ابي نعيم، عن عمر بن ابي سلمة وهو ابن ام سلمة زوج النبي صلى الله عليه وسلم، قال: اكلت يوما مع رسول الله صلى الله عليه وسلم طعاما، فجعلت آكل من نواحي الصحفة، فقال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم:" كل مما يليك".
Mujh se Abdul Aziz bin Abdullah Owaysi ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Muhammad bin Jafar ne bayan kiya , in se Muhammad bin Amr bin Halhala Dayli ne bayan kiya , in se Wahb bin Kaysan Abu Nuaym ne bayan kiya , in se Umar bin Abi Salamah razi Allahu anhu ne , woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Umm Salamah razi Allahu anha ke (Abu Salamah se) bete hain . Bayan kiya ke ek din main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath khana khaya aur bartan ke charon taraf se khane laga to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujh se farmaya ke apne nazdeek se kha .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5378
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن وهب بن كيسان ابي نعيم، قال:" اتي رسول الله صلى الله عليه وسلم بطعام ومعه ربيبه عمر بن ابي سلمة، فقال: سم الله، وكل مما يليك".
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne bayan kiya , kaha hum ko Imam Malik ne khabar di , in se Abu Nuaym Wahb bin Kaysan ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein khana laya gaya , Aap ke saath Aap ke rabeeb Umar bin Abi Salamah razi Allahu anhu bhi thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Bismillah parh aur apne samne se kha .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain