الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب النَّفَقَاتِ
The Book of Provision (Outlay)
بَابُ الْمَرَاضِعِ مِنَ الْمَوَالِيَاتِ وَغَيْرِهِنَّ:
Chapter. Freed female slaves or any other women can be wet nurses.
Show diacritics
Hadith Number: 5372
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، اخبرني عروة، ان زينب بنت ابي سلمة اخبرته،" ان ام حبيبة زوج النبي صلى الله عليه وسلم، قالت: قلت: يا رسول الله، انكح اختي بنت ابي سفيان، قال: وتحبين ذلك؟ قلت: نعم، لست لك بمخلية واحب من شاركني في الخير اختي، فقال: إن ذلك لا يحل لي، فقلت: يا رسول الله، فوالله إنا نتحدث انك تريد ان تنكح درة بنت ابي سلمة، فقال: بنت ام سلمة؟ فقلت: نعم، قال: فوالله لو لم تكن ربيبتي في حجري ما حلت لي، إنها بنت اخي من الرضاعة ارضعتني وابا سلمة ثويبة، فلا تعرضن علي بناتكن ولا اخواتكن. وقال شعيب عن الزهري، قال عروة: ثويبة اعتقها ابو لهب.
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya , in se Aqeel ne , in se Ibn Shihab ne , unhein Urwah ne khabar di , un ko Abu Salamah ki sahibzadi Zaynub ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Umm Habibah razi Allahu anha ne byaan kiya ke main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Meri behen (Azzah bint Abi Sufyan) bint Abi Sufyan se nikah kar lijiye . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aur tum usay pasand bhi karo gi (ke tumhari behen tumhari saukan ban jaye) ? Main ne arz kiya ji haan , is se khaali to main ab bhi nahi hoon aur main pasand karti hoon ke apni behen ko bhi bhalayi mein apne saath shareek kar loon . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne is par farmaya ke yeh meere liye jaiz nahi hai . (do behnon ko ek saath nikah mein jama karna) main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Wallah is tarah ki baatein ho rahi hain ke Aap Durrah bint Abi Salamah se nikah ka irada rakhte hain . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke Umm Salamah ki beti . Jab main ne arz kiya , ji haan to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar woh meri parwarish mein na hoti jab bhi woh meere liye halal nahi ku woh to meere raza'i bhai ki larki hai . Mujhe aur Abu Salamah ko Suwayba ne doodh pilaya thu . Pas tum meere liye apni larkiyon aur behnon ko na pesh kiya karo . Aur Shuayb ne byaan kiya , in se Zuhri ne aur in se Urwah ne , kaha ke Suwayba ko Abu Lahab ne aazad kiya tha .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain