الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب النِّكَاحِ
The Book of (The Wedlock)
بَابُ: {وَالَّذِينَ لَمْ يَبْلُغُوا الْحُلُمَ}:
Chapter.“And those among you who have not come to the age of puberty." (V.24:58)
Show diacritics
Hadith Number: 5249
حدثنا احمد بن محمد، اخبرنا عبد الله، اخبرنا سفيان، عن عبد الرحمن بن عابس، سمعت ابن عباس رضي الله عنهما، ساله رجل:" شهدت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم العيد اضحى او فطرا؟ قال: نعم، ولولا مكاني منه ما شهدته يعني من صغره، قال: خرج رسول الله صلى الله عليه وسلم، فصلى ثم خطب ولم يذكر اذانا ولا إقامة، ثم اتى النساء فوعظهن وذكرهن وامرهن بالصدقة، فرايتهن يهوين إلى آذانهن وحلوقهن يدفعن إلى بلال، ثم ارتفع هو وبلال إلى بيته".
Hum se Ahmad bin Muhammad ne byaan kiya, kaha hum ko Abdullah bin al-Mubarak ne khabar di, kaha hum ko Sufyan Sawri ne khabar di, in se Abdur Rahman bin Aabis ne, kaha main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna, in se ek shakhs ne yeh sawal kiya tha ke tum Baqr-Eid ya Eid ke mauqa par Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath maujood thay? Unhon ne kaha ke haan. Agar main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka rishta-dar na hota to main apni kam-sini ki wajah se aise mauqa par hazir nahi ho sakta tha. In ka isharah (is zamane mein) apne bachpan ki taraf tha. Unhon ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bahar tashreef le gaye aur (logon ke saath Eid ki) namaz parhi aur is ke baad khutba diya. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne azaan aur iqamat ka zikr nahi kiya, phir Aap auraton ke paas aaye aur unhein waaz o nasihat ki aur unhein khairat dene ka hukm diya. Main ne unhein dekha ke phir woh apne kaanon aur gale ki taraf hath barha barha kar (apne zewaraat) Bilal razi Allahu anhu ko dene lagein. Is ke baad Bilal razi Allahu anhu ke saath Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam wapas tashreef laye.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain