الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب النِّكَاحِ
The Book of (The Wedlock)
بَابُ قَوْلِ الرَّجُلِ لأَخِيهِ انْظُرْ أَيَّ زَوْجَتَيَّ شِئْتَ حَتَّى أَنْزِلَ لَكَ عَنْهَا:
Chapter. The saying of a man to his brother (in Islam): "Have a look at either of my wives (and if you wish), I will divorce her for you."
Show diacritics
Hadith Number: Q5072
رواه عبد الرحمن بن عوف.
Is ko Abdur Rahman bin Auf ne bhi riwayat kiya hai .


Show diacritics
Hadith Number: 5072
حدثنا محمد بن كثير، عن سفيان، عن حميد الطويل، قال: سمعت انس بن مالك، قال: قدم عبد الرحمن بن عوف فآخى النبي صلى الله عليه وسلم بينه وبين سعد بن الربيع الانصاري، وعند الانصاري امراتان، فعرض عليه ان يناصفه اهله وماله، فقال: بارك الله لك في اهلك ومالك، دلوني على السوق، فاتى السوق فربح شيئا من اقط وشيئا من سمن، فرآه النبي صلى الله عليه وسلم بعد ايام وعليه وضر من صفرة، فقال:" مهيم يا عبد الرحمن، فقال: تزوجت انصارية، قال: فما سقت إليها، قال: وزن نواة من ذهب، قال: اولم ولو بشاة".
`Hum se Muhammad bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaina ne, un se Humaid Taweel ne bayan kiya ke mein ne Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se suna, bayan kiya ke Abdur Rahman bin Auf Radi Allahu Anhu (hijrat kar ke Madinah) aaye to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne un ke aur Saad bin Rabee Ansari Radi Allahu Anhu ke darmiyan bhai chara karaya. Saad Ansari Radi Allahu Anhu ke nikah mein do biwiyan theen. Unhon ne Abdur Rahman Radi Allahu Anhu se kaha ke wo un ke ahl (biwi) aur maal mein se aadhe lein. Is par Abdur Rahman ne kaha ke Allah Ta'ala aap ke ahl aur aap ke maal mein barkat de, mujhe to bazar ka rasta bata do. Chunancha aap bazar aaye aur yahan aap ne kuch paneer aur kuch ghee ki tijarat ki aur nafa kamaya. Chand dinon ke baad un par zafran ki zardi lagi hui thi. Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne daryaft farmaya ke Abdur Rahman yeh kya hai? Unhon ne arz kiya ke mein ne ek Ansari khatoon se shadi kar li hai. Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne daryaft farmaya ke unhein mahr mein kya diya arz kiya ke ek guthli barabar sona diya hai. Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke phir walima kar agarche ek bakri hi ka ho.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain