الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
سورة {قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ النَّاسِ}:
SURAT AN-NAS (The Mankind)
Show diacritics
Hadith Number: Q4977
ويذكر عن ابن عباس: {الوسواس} إذا ولد خنسه الشيطان، فإذا ذكر الله عز وجل ذهب، وإذا لم يذكر الله ثبت على قلبه.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne «waswaasin» ke mutalliq batlaya ke jab bacha paida hota hai Shaytan us ko chaunka lagata hai . Agar wahan Allah ka naam liya gaya to woh bhaag jata hai warna bache ke dil par jamm jata hai .


Show diacritics
Hadith Number: 4977
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا عبدة بن ابي لبابة، عن زر بن حبيش، وحدثنا عاصم، عن زر، قال: سالت ابي بن كعب، قلت: يا ابا المنذر إن اخاك ابن مسعود، يقول: كذا وكذا، فقال ابي: سالت رسول الله صلى الله عليه وسلم فقال لي:" قيل لي"، فقلت: قال: فنحن نقول كما قال رسول الله صلى الله عليه وسلم".
Hum se Ali bin Abdullah ne byaan kiya , un se Sufyan ne byaan kiya , un se Abdah bin Abi Lubabah ne byaan kiya , un se Zirr bin Hubaysh ne (Sufyan ne kaha) aur hum se Aasim ne bhi byaan kiya , un se Zirr ne byaan kiya ke main ne Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu se poocha ke ya Aba al-Munzhir! Aap ke bhai Abdullah bin Masood razi Allahu anhu to yeh kehte hain ke Surah Muawwizhatayn Quran mein dakhil nahi hain . Ubayy bin Kabb ne kaha ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se is baat ko poocha tha . Nabi salla Allahu alaihi wasallam ne mujh se farmaya ke (Jibraeel alaihissalam ki zabani) mujh se yun kaha gaya ke aisa kahiye aur main ne kaha , Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu ne kaha ke hum bhi wahi kehte hain jaisa ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya th .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain