الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ: {اللَّهُ الصَّمَدُ}:
CHAPTER The Statement of Allah: "Allah-us-Samad (The Self-Sufficient Master, Whom all creatures need, He neither eats nor drinks)." (V.112:2)
Hadith Number: Q4975
والعرب تسمي اشرافها الصمد، قال ابو وائل: هو السيد الذي انتهى سودده.
Maani Allah Be-niyaz hai . Arab log sardar aur shareef ko «samadun» kehte hain . Abu Wail Shaqeeq bin Salama ne kaha had darjay sab se bara sardar jo ho usay «samadun» kehte hain .
Hadith Number: 4975
حدثنا إسحاق بن منصور، قال: وحدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن همام، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" قال الله: كذبني ابن آدم ولم يكن له ذلك، وشتمني ولم يكن له ذلك، اما تكذيبه إياي ان يقول إني لن اعيده كما بداته، واما شتمه إياي ان يقول اتخذ الله ولدا، وانا الصمد الذي لم الد، ولم اولد ولم يكن لي كفؤا احد لم يلد ولم يولد {3} ولم يكن له كفوا احد {4} سورة الإخلاص آية 3-4"، كفؤا وكفيئا وكفاء واحد.
Hum se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdur Razzaq ne byaan kiya , unhon ne kaha hamain Mamar ne khabar di , unhein Hammam ne , un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke (Allah Paak ne farmaya hai ke) Ibn e Adam ne mujhe jhutlaya haalan ke is ke liye yeh munasib na tha . Us ne mujhe gaali di haalan ke yeh is ka haq nahi tha . Mujhe jhutlana yeh hai ke (Ibn e Adam) kehta hai ke main usay dobara zinda nahi kar sakta jaisa ke main ne usay pehli dafa paida kiya tha . Is ka gaali dena yeh hai ke kehta hai Allah ne beta bana liya hai haalan ke main be-parwah hoon , mere haan na koi aulad hai aur na main kisi ki aulad aur na koi mere barabar ka hai . «kufu'an» aur «kafee'an» aur «kifaa'an» hum-maani hain .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة