الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ: {فَمَنْ يَعْمَلْ مِثْقَالَ ذَرَّةٍ خَيْرًا يَرَهُ}:
Chapter. The Statement of Allah: "So whosoever does good equal to the weight of an atom (or a small ant), shall see it." (V.99:7)
Show diacritics
Hadith Number: Q4962
ووحى لها ووحى إليها واحد.
Aur «awha laha» aur «awha ilayha» sab ka ek hi maani hai.


Show diacritics
Hadith Number: 4962
حدثنا إسماعيل بن عبد الله، حدثنا مالك، عن زيد بن اسلم، عن ابي صالح السمان، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" الخيل لثلاثة: لرجل اجر، ولرجل ستر، وعلى رجل وزر، فاما الذي له اجر، فرجل ربطها في سبيل الله، فاطال لها في مرج او روضة، فما اصابت في طيلها ذلك في المرج والروضة كان له حسنات، ولو انها قطعت طيلها فاستنت شرفا او شرفين كانت آثارها وارواثها حسنات له، ولو انها مرت بنهر فشربت منه، ولم يرد ان يسقي به كان ذلك حسنات له، فهي لذلك الرجل اجر، ورجل ربطها تغنيا وتعففا ولم ينس حق الله في رقابها ولا ظهورها، فهي له ستر، ورجل ربطها فخرا ورئاء ونواء، فهي على ذلك وزر، فسئل رسول الله صلى الله عليه وسلم عن الحمر، قال:" ما انزل الله علي فيها إلا هذه الآية الفاذة الجامعة فمن يعمل مثقال ذرة خيرا يره {7} ومن يعمل مثقال ذرة شرا يره {8} سورة الزلزلة آية 7-8".
Hum se Ismail bin Abdullah ne byaan kiya, kaha hum se Imam Malik ne byaan kiya, un se Zayd bin Aslam ne, un se Abu Salih Samman ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ghora teen tarah ke log teen qism ke paalte hain. Ek shakhs ke liye woh ajr hota hai doosre ke liye woh maafi hai, teesre ke liye azab hai. Jis ke liye woh ajr o sawab hai woh shakhs hai jo usay Allah ke rasta mein jihad ki niyat se paalta hai. Charagah ya is ke bajaye rawi ne yeh kaha bagh mein is ki rassi ko daraz kar deta hai aur woh ghora charagah ya bagh mein apni rassi tara le aur ek do kore (phenkne ki doori) tak apni had se aage barh gaya to is ke nishanat e qadam aur is ki leed bhi malik ke liye sawab ban jati hai aur agar kisi nahar se guzarte huay is mein malik ke irada ke baghair khud hi is ne pani pee liya to yeh bhi malik ke liye bais e sawab ban jata hai. Doosra shakhs jis ke liye is ka ghora bais e maafi, parda banta hai. Yeh woh shakhs hai jis ne logon se be-parwah rehne aur logon (ke samne sawal karne se) bachne ke liye usay pala aur is ghore ki gardan par jo Allah Ta'ala ka haq hai aur is ki peeth ko jo haq hai usay bhi woh ada karta rehta hai. To ghora is ke liye bais e maafi, parda ban jata hai aur jo shakhs ghora apne darwaze par fakhr aur dikhawe aur Islam dushmani ki gharz se baandhta hai, woh is ke liye wabal hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se gadhoon ke mutalliq poocha gaya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ne is ke mutalliq mujh par khaas aayat siwa is akaili aam aur jami aayat ke nazil nahi ki «faman yamal misqaala zharratin khayray-yarah * wa man yamal misqaala zharratin sharray-yarah» al-kh yani ”jo koi zharra bhar naiki kare ga woh usay bhi le ga dekh le ga aur jo koi zharra bhar burayi kare ga woh usay bhi dekh le ga.“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain