الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
سورة {أَلَمْ نَشْرَحْ}:
SURAT ASH-SHARH (The Opening Forth)
Show diacritics
Hadith Number: Q4952-2
وقال مجاهد: وزرك: في الجاهلية، انقض: اثقل مع، العسر يسرا، قال ابن عيينة: اي مع ذلك العسر يسرا آخر كقوله: هل تربصون بنا إلا إحدى الحسنيين: ولن يغلب عسر يسرين، وقال مجاهد: فانصب: في حاجتك إلى ربك ويذكر، عن ابن عباس، الم نشرح لك صدرك سورة الشرح آية 1شرح الله صدره للإسلام.
Mujahid ne kaha «wizraka» se woh baatein murad hain jo Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se jahiliyat ke zamana mein saadir huien (tark e ula waghaira) . «anqada» ke maani bhaari kiya . «ma-al usri yusran» Sufyan bin Uyaynah ne kaha is ka matlab yeh hai ke ek museebat ke saath do niamatein milti hain jaise aayat «hal tarabbasoona bina illa ihdal husnayayni» mein Musalmanon ke liye do naikiyaan murad hain aur hadees mein hai ek museebat do naikiyon par ghalib nahi aa sakti aur Mujahid ne kaha «fansab» yani apne Parvardigar se dua maangne mein mehnat utha . Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma se manqool hai unhon ne kaha «alam nashrah laka sadraka» se murad hai ke hum ne tera seena Islam ke liye khol diya .