الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
سورة {سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى}:
SURAT AL-ALA (The Most High)
Show diacritics
Hadith Number: 4941
حدثنا عبدان، قال: اخبرني ابي، عن شعبة، عن ابي إسحاق، عن البراء رضي الله عنه، قال:" اول من قدم علينا من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم مصعب بن عمير وابن ام مكتوم، فجعلا يقرئاننا القرآن، ثم جاء عمار وبلال وسعد، ثم جاء عمر بن الخطاب في عشرين، ثم جاء النبي صلى الله عليه وسلم، فما رايت اهل المدينة، فرحوا بشيء فرحهم به حتى رايت الولائد والصبيان، يقولون: هذا رسول الله صلى الله عليه وسلم قد جاء، فما جاء حتى قرات سبح اسم ربك الاعلى سورة الاعلى آية 1 في سور مثلها".
Hum se Abdan ne byaan kiya , kaha ke mujhe mere walid ne khabar di , unhein Shubah ne , unhein Abu Ishaq ne aur un se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke (Muhajir) sahabah mein sab se pehle hamare paas Madinah tashreef laane wale Musab bin Umayr aur Ibn Umm Maktoom razi Allahu anhuma thay . Madinah pahunch kar in buzurgon ne hamain Quran Majeed parhana shuru kar diya . Phir Ammar , Bilal aur Saad razi Allahu anhum aaye . Aur Umar bin Khattab razi Allahu anhu bees sahabah ko saath le kar aaye is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tashreef laye main ne kabhi Madinah walon ko itna khush hone wala nahi dekha tha , jitna woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki aamad par khush huay thay . Bachiyaan aur bache bhi kehne lage thay ke Aap Allah ke Rasool hain , hamare yahan tashreef laye hain . Main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki Madinah mein tashreef aawari se pehle hi «sabbih-isma rabbikal aa-la» aur is jaisi aur surtein parh li thien .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain