الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ: {هَذَا يَوْمُ لاَ يَنْطِقُونَ}:
Chapter. The Statement of Allah:“That will be a Day when they shall not speak (during some part of it).”(V.77:35)
Show diacritics
Hadith Number: 4934
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثني إبراهيم، عن الاسود، عن عبد الله، قال: بينما نحن مع النبي صلى الله عليه وسلم في غار، إذ نزلت عليه والمرسلات، فإنه ليتلوها وإني لاتلقاها من فيه، وإن فاه لرطب بها، إذ وثبت علينا حية، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" اقتلوها"، فابتدرناها، فذهبت، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" وقيت شركم كما وقيتم شرها"، قال عمر: حفظته من ابي في غار بمنى.
Hum se Umar bin Hafs ne byaan kiya, ke mujh se mere walid ne byaan kiya, kaha hum se Aamash ne byaan kiya, kaha mujh se Ibrahim ne byaan kiya, un se Aswad ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath ek ghaar mein thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam par Surah wal-Mursalat nazil hui, phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is ki tilawat ki aur main ne usay Aap hi ke munh se yaad kar liya. Wahi se Aap ki munh ki tazgi is waqt bhi baqi thi ke itne mein ghaar ki taraf ek saanp lapka. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke usay maar daalo. Hum is ki taraf barhay lekin woh bhaag gaya. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is par farmaya ke woh bhi tumhare shar se is tarah bach nikla jaisa ke tum is ke shar se bach gaye. Umar bin Hafs ne kaha mujhe yeh hadees yaad hai, main ne apne walid se suni thi, unhon ne itna aur barhaya tha ke woh ghaar Mina mein


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain