الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ: {فَإِذَا قَرَأْنَاهُ فَاتَّبِعْ قُرْآنَهُ}:
Chapter.“And when We have recited it to you [O Muhammad through Jibril (Gabriel)], then follow its (the Quran’s) recital." (V.75:18)
Show diacritics
Hadith Number: Q4929
قال ابن عباس: قراناه: بيناه، فاتبع: اعمل به.
‏‏‏‏ Yani ”phir jab hum usay parhne lagein to Aap is ke tabe ho jaya karein.“ Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «qara'naahu» ke maani yeh hain ”hum ne usay byaan kiya“ aur «fattabi'u» ka maani yeh ke ”tum is par amal karo.“


Show diacritics
Hadith Number: 4929
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن موسى بن ابي عائشة، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس، في قوله: لا تحرك به لسانك لتعجل به سورة القيامة آية 16، قال: كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا نزل جبريل بالوحي وكان مما يحرك به لسانه وشفتيه، فيشتد عليه وكان يعرف منه، فانزل الله الآية التي في لا اقسم بيوم القيامة سورة القيامة آية 1 لا تحرك به لسانك لتعجل به سورة القيامة آية 16 إن علينا جمعه وقرءانه سورة القيامة آية 17، قال: علينا ان نجمعه في صدرك وقرآنه فإذا قراناه فاتبع قرءانه سورة القيامة آية 18، فإذا انزلناه فاستمع ثم إن علينا بيانه سورة القيامة آية 19 علينا ان نبينه بلسانك، قال: فكان إذا اتاه جبريل اطرق فإذا ذهب قراه كما وعده الله عز وجل اولى لك فاولى توعد".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya, kaha hum se Jareer ne byaan kiya, un se Musa bin Abi Aisha ne, un se Saeed bin Jubayr ne, un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne Allah Ta'ala ke irshad «la tuhar-rik bihi lisanaka lita'jala bihi» al-aayat yani ”Aap is ko jaldi jaldi lene ke liye is par zaban na hilaya karein“ ke mutalliq batlaya ke jab Jibraeel Aap par wahi nazil karte to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam apni zaban aur hont hilaya karte thay aur Aap par yeh bahut sakht guzarta, yeh Aap ke chehre se bhi zahir hota thu. Is liye Allah Ta'ala ne woh aayat nazil ki jo Surah «la uqsimu bi-yawmil qiyamati» mein hai yani «la tuhar-rik bihi lisanaka» al-aayat yani ”Aap is ko jaldi jaldi lene ke liye is par zaban na hilaya karein. Yeh to hamare zimma hai is ka jama kar dena aur is ka parhwana, phir jab hum usay parhne lagein to Aap is ke peeche yaad karte jaya karein. Yani jab hum wahi nazil karein to Aap ghaur se sunein. Phir is ka byaan kara dena bhi hamare zimma hai.“ Yani yeh bhi hamare zimma hai ke hum usay Aap ki zabani logon ke samne byaan kara dein. Byaan kiya ke chunanche is ke baad jab Jibraeel alaihissalam wahi le kar aate to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam khamosh ho jate aur jab chale jate to parhte jaisa ke Allah Ta'ala ne Aap se waada kiya tha. Aayat «aula laka fa-aula» mein «tahdeedun» yani darana dhamkana murad hai.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain