الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
سورة {ن الْقَلَمِ}:
SURAT NUN WAL-QALAM (The Pen)
Show diacritics
Hadith Number: Q4917
وقال قتادة: حرد: جد في انفسهم، وقال ابن عباس: يتخافتون ينتجون السرار والكلام الخفي، وقال ابن عباس: لضالون: اضللنا مكان جنتنا، وقال غيره: كالصريم: كالصبح انصرم من الليل والليل انصرم من النهار وهو ايضا كل رملة انصرمت من معظم الرمل، والصريم ايضا المصروم مثل قتيل ومقتول.
‏‏‏‏ Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «yatakhaafatoona» chupke chupke, kaana phuusi karte huay. Qatadah ne kaha «hardin» ke maani dil se koshish karna ya bakheeli ya ghussa. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «la-daalloona» ka matlab yeh hai ke hum apne bagh ki jagah bhool gaye, bhatak gaye aur aage barh gaye. Auron ne kaha «sareemun» ke maani subah jo raat se kat kar alag ho jati hai ya raat jo din se kat kar alag ho jati hai. «sareemun» is reti ko bhi kehte hain jo rait ke bare bare teelon se kat kar alag ho jaye. «sareemun» , «masroomun» ke maani mein hai jaise «qateelun» , «maqtoolun» ke ma'non mein hai.