الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {اتَّخَذُوا أَيْمَانَهُمْ جُنَّةً} يَجْتَنُّونَ بِهَا:
Chapter.“They have made their oaths a screen (for their hypocrisy).”(V.63:2)
Show diacritics
Hadith Number: 4901
حدثنا آدم بن ابي إياس، حدثنا إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن زيد بن ارقم رضي الله عنه، قال:" كنت مع عمي، فسمعت عبد الله بن ابي ابن سلول، يقول: لا تنفقوا على من عند رسول الله حتى ينفضوا، وقال ايضا: لئن رجعنا إلى المدينة ليخرجن الاعز منها الاذل، فذكرت ذلك لعمي، فذكر عمي لرسول الله صلى الله عليه وسلم، فارسل رسول الله صلى الله عليه وسلم إلى عبد الله بن ابي واصحابه، فحلفوا ما قالوا، فصدقهم رسول الله صلى الله عليه وسلم وكذبني، فاصابني هم لم يصبني مثله قط، فجلست في بيتي، فانزل الله عز وجل إذا جاءك المنافقون إلى قوله هم الذين يقولون لا تنفقوا على من عند رسول الله إلى قوله ليخرجن الاعز منها الاذل سورة المنافقون آية 1 - 8، فارسل إلي رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقراها علي، ثم قال:" إن الله قد صدقك".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya, unhon ne kaha hum se Israeel bin Yunus ne byaan kiya, unhon ne kaha un se Abu Ishaq Sabii ne byaan kiya aur un se Zayd bin Arqam razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main apne chacha (Saad bin Ubadah ya Abdullah bin Rawaha razi Allahu anhuma) ke saath tha main ne Abdullah bin Ubayy bin Salool ko kehte suna ke jo log Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke paas hain un par kharch mat karo taake woh in ke paas se bhaag jayein. Yeh bhi kaha ke agar ab hum Madinah laut kar jayein ge to izzat wala wahan se zaleelon ko nikal kar bahar kar de ga. Main ne is ki yeh baat chacha se aa kar kahi aur unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se is ka zikr kiya. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Abdullah bin Ubayy aur is ke sathiyon ko bulwaya unhon ne qasam kha li ke aaisi koi baat unhon ne nahi kahi thi. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne bhi un ko sacha jaana aur mujh ko jhoota samjha. Mujhe is itna sadma pahuncha ke aisa kabhi nahi pahuncha ho ga phir main ghar ke andar baith gaya. Phir Allah Ta'ala ne yeh surat nazil ki «izha jaa-akal munafiqoona» se «humullazhina yaqooloona la tunfiqoo ala man inda rasoolillahi» aur aayat «layukhrijannal a-azzu minha al-azhalla» to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe bulwaya aur mere samne is surat ki tilawat ki phir farmaya ke Allah ne tumhare byaan ko sacha kar diya hai.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain