الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ: {إِذَا جَاءَكَ الْمُنَافِقُونَ قَالُوا نَشْهَدُ إِنَّكَ لَرَسُولُ اللَّهِ} إِلَى: {لَكَاذِبُونَ}:
Chapter. The Statement of Allah:“When the hypocrites come to you (O Muhammad) they say: ’We bear witness that you are indeed the Messenger of Allah...’ ”(V.63:1)
Hadith Number: 4900
حدثنا عبد الله بن رجاء، حدثنا إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن زيد بن ارقم، قال: كنت في غزاة، فسمعت عبد الله بن ابي، يقول: لا تنفقوا على من عند رسول الله، حتى ينفضوا من حوله ولئن رجعنا من عنده ليخرجن الاعز منها الاذل، فذكرت ذلك لعمي او لعمر، فذكره للنبي صلى الله عليه وسلم، فدعاني، فحدثته، فارسل رسول الله صلى الله عليه وسلم إلى عبد الله بن ابي واصحابه، فحلفوا ما قالوا، فكذبني رسول الله صلى الله عليه وسلم وصدقه، فاصابني هم لم يصبني مثله قط، فجلست في البيت، فقال لي عمي: ما اردت إلى ان كذبك رسول الله صلى الله عليه وسلم ومقتك، فانزل الله تعالى إذا جاءك المنافقون سورة المنافقون آية 1، فبعث إلي النبي صلى الله عليه وسلم فقرا، فقال:" إن الله قد صدقك يا زيد".
Hum se Abdullah bin Rajaa ne byaan kiya, kaha hum se Israeel bin Yunus ne byaan kiya, un se Ishaq ne aur un se Zayd bin Arqam razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke main ek ghazwa (Ghazwa Tabook) mein tha aur main ne (munafiqon ke sardar) Abdullah bin Ubayy ko yeh kehte suna ke jo log (Muhajireen) Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke paas jama hain un par kharch na karo taake woh khud hi Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se juda ho jayein ge. Is ne yeh bhi kaha ab agar hum Madinah laut kar jayein ge to izzat wala wahan se zillat walon ko nikal bahar kare ga. Main ne is ka zikr apne chacha (Saad bin Ubadah Ansari) se kiya ya Umar razi Allahu anhu se is ka zikr kiya. (rawi ko shak tha) unhon ne is ka zikr Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kiya. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe bulaya main ne tamam baatein Aap ko suna dien. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Abdullah bin Ubayy aur is ke sathiyon ko bula bheja. Unhon ne qasam kha li kaha ke unhon ne is tarah ki koi baat nahi kahi thi. Is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujh ko jhoota samjha aur Abdullah ko sacha samjha. Mujhe is ka itna sadma hua ke aisa kabhi na hua tha. Phir main ghar mein baith raha. Mere chacha ne kaha ke mera khayal nahi tha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tumhari takzeeb karein ge aur tum par naraz hon ge. Phir Allah Ta'ala ne yeh surat nazil ki «izha jaa-akal munafiqoona» ”jab munafiq Aap ke paas aate hain“ is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe bulwaya aur is surat ki tilawat ki aur farmaya ke Ae Zayd! Allah Ta'ala ne tum ko sacha kar diya hai.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة