الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الصَّلَاةِ
The Book of As-Salat (The Prayer)
بَابُ الصَّلاَةِ فِي الثَّوْبِ الأَحْمَرِ:
Chapter. (It is permissible) to offer Salat (prayer) in a red garment.
Show diacritics
Hadith Number: 376
حدثنا محمد بن عرعرة، قال: حدثني عمر بن ابي زائدة، عن عون بن ابي جحيفة، عن ابيه، قال:" رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم في قبة حمراء من ادم، ورايت بلالا اخذ وضوء رسول الله صلى الله عليه وسلم، ورايت الناس يبتدرون ذاك الوضوء، فمن اصاب منه شيئا تمسح به، ومن لم يصب منه شيئا اخذ من بلل يد صاحبه، ثم رايت بلالا اخذ عنزة فركزها، وخرج النبي صلى الله عليه وسلم في حلة حمراء مشمرا، صلى إلى العنزة بالناس ركعتين، ورايت الناس والدواب يمرون من بين يدي العنزة".
Hum se Muhammad bin Ar'arah ne bayan kiya, kaha ke mujh se Umar Ibn Abi Za'idah ne bayan kiya Aun bin Abi Juhaifah se, unhon ne apne walid Abu Juhaifah Wahb bin Abdullah se ke main ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ek surkh chamre ke khaime mein dekha aur main ne yeh bhi dekha ke Bilal Razi Allah Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ko wudu kara rahe hain aur har shakhs Aap ke wudu ka pani hasil karne ke liye ek doosre se aage badhne ki koshish kar raha hai. Agar kisi ko thoda sa bhi pani mil jata to woh ise apne oopar mal leta aur agar koi pani na pa sakta to apne saathi ke hath ki tari hi hasil karne ki koshish karta. Phir main ne Bilal Razi Allah Anhu ko dekha ke unhon ne apni ek barchi uthayi jis ke neeche lohe ka phal laga hua tha aur ise unhon ne gaad diya. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam (dere mein se) ek surkh poshak pehne hue tehband uthaye hue bahar tashreef laye aur barchi ki taraf munh kar ke logon ko do rakat namaz padhayi, main ne dekha ke aadmi aur janwar barchi ke pare se guzar rahe thay.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain