الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {لاَ تَتَّخِذُوا عَدُوِّي وَعَدُوَّكُمْ أَوْلِيَاءَ}:
Chapter. "(O you who believe!) Take not My enemies and your enemies as friends..."
Hadith Number: 4890
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا عمرو بن دينار، قال: حدثني الحسن بن محمد بن علي، انه سمع عبيد الله بن ابي رافع كاتب علي، يقول: سمعت عليا رضي الله عنه، يقول: بعثني رسول الله صلى الله عليه وسلم انا والزبير والمقداد، فقال:" انطلقوا حتى تاتوا روضة خاخ، فإن بها ظعينة معها كتاب، فخذوه منها، فذهبنا تعادى بنا خيلنا حتى اتينا الروضة، فإذا نحن بالظعينة، فقلنا: اخرجي الكتاب، فقالت: ما معي من كتاب، فقلنا: لتخرجن الكتاب، او لنلقين الثياب، فاخرجته من عقاصها، فاتينا به النبي صلى الله عليه وسلم، فإذا فيه من حاطب بن ابي بلتعة إلى اناس من المشركين ممن بمكة يخبرهم ببعض امر النبي صلى الله عليه وسلم، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" ما هذا يا حاطب؟" قال: لا تعجل علي يا رسول الله، إني كنت امرا من قريش ولم اكن من انفسهم، وكان من معك من المهاجرين لهم قرابات يحمون بها اهليهم واموالهم بمكة، فاحببت إذ فاتني من النسب فيهم ان اصطنع إليهم يدا يحمون قرابتي وما فعلت ذلك كفرا ولا ارتدادا عن ديني، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" إنه قد صدقكم" فقال عمر: دعني يا رسول الله، فاضرب عنقه، فقال:" إنه شهد بدرا وما يدريك لعل الله عز وجل اطلع على اهل بدر، فقال:" اعملوا ما شئتم فقد غفرت لكم"، قال عمرو: ونزلت فيه يايها الذين آمنوا لا تتخذوا عدوي وعدوكم اولياء سورة الممتحنة آية 1، قال: لا ادري الآية في الحديث، او قول عمرو. حدثنا علي، قال: قيل لسفيان في هذا، فنزلت لا تتخذوا عدوي وعدوكم اولياء سورة الممتحنة آية 1 الآية، قال سفيان: هذا في حديث الناس حفظته من عمرو ما تركت منه حرفا وما ارى احدا حفظه غيري.
Hum se Abdullah bin Zubayr Humaydi ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya, kaha hum se Amr bin Dinar ne byaan kiya, kaha ke mujh se Hasan bin Muhammad bin Ali ne byaan kiya, unhon ne Ali razi Allahu anhu ke katib Ubaydullah bin Abi Rafi se suna, woh byaan karte thay ke main ne Ali razi Allahu anhu se suna unhon ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe, Zubayr aur Miqdad razi Allahu anhuma ko rawana kiya aur farmaya ke chale jao aur jab Maqam e Khaakh ke bagh par pahunch jao ge (jo Makkah aur Madinah ke darmiyan tha) to wahan tumhein haudaj mein ek aurat mile gi, is ke saath ek khat ho ga, woh khat tum is se le lena. Chunanche hum rawana huay hamare ghore hamain taiz-raftari ke saath le ja rahe thay. Aakhir jab hum is bagh par pahunche to waqayi wahan hum ne haudaj mein is aurat ko pa liya hum ne is se kaha ke khat nikal. Is ne kaha mere paas koi khat nahi hai hum ne is se kaha ke khat nikal de warna hum tera saara kapra utaar kar talashi lein ge. Aakhir is ne apni choti se khat nikala hum log woh khat le kar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay. Is khat mein likha hua tha ke Hatib bin Abi Balta'ah ki taraf se mushrikeen ke chand aadmiyon ki taraf jo Makkah mein thay is khat mein unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki tayyari ka zikr likha tha (ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ek bari fauj le kar aate hain tum apna bachao kar lo). Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya: Hatib! Yeh kya hai? Unhon ne arz kiya: ya Rasool Allah! Mere muamla mein jaldi na farmayein main Quraysh ke saath bataur haleef (zamana e qiyam e Makkah mein) raha karta tha lekin un ke qabila wa khandan se mera koi talluq nahi tha. Is ke bar-khilaf Aap ke saath jo doosre Muhajireen hain un ki Quraysh mein rishta-dariyaan hain aur un ki riayat se Quraysh Makkah mein reh jaane wale un ke ahl o ayal aur maal ki hifazat karte hain. Main ne chaha ke jabke in se mera koi nasbi talluq nahi hai to is mauqa par un par ek ihsan kar doon aur is ki wajah se woh mere rishta-daron ki Makkah mein hifazat karein. Ya Rasool Allah! Main ne yeh amal kufr ya apne deen se phir jaane ki wajah se nahi kiya hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yaqeenan unhon ne tum se sachi baat keh di hai. Umar razi Allahu anhu bolay ke ya Rasool Allah! Mujhe ijazat dein main is ki gardan maar doon. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya yeh Badr ki jang mein hamare saath maujood thay. Tumhein kya maloom, Allah Ta'ala Badr walon ke tamam halat se waqif tha aur is ke bawajood un ke mutalliq farma diya ke jo jee chahe karo ke main ne tumhein maaf kar diya. Amr bin Dinar ne kaha ke Hatib bin Abi Balta'ah razi Allahu anhu hi ke baare mein yeh aayat nazil hui thi «ya ayyuhallazhina aamanu la tat-takhizhoo aduwwi wa aduwwakum» ke al-aayat. ”Ae Iman Walo! Tum mere dushman aur apne dushman ko dost na bana lena.“ Sufyan bin Uyaynah ne kaha ke mujhe is ka ilm nahi ke is aayat ka zikr hadees mein dakhil hai ya nahi yeh Amr bin Dinar ka qaul hai. Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya ke Sufyan bin Uyaynah se Hatib bin Abi Balta'ah razi Allahu anhu ke baare mein poocha gaya ke kya aayat «la tat-takhizhoo aduwwi» unhi ke baare mein nazil hui thi? Sufyan ne kaha ke logon ki riwayat mein to yunhi hai lekin main ne Amr se hadees yaad ki is mein se ek harf bhi main ne nahi chhora aur main nahi samajhta ke mere siwa aur kisi ne is hadees ko Amr se khoob yaad rakkha ho.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة