الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ: {بَلِ السَّاعَةُ مَوْعِدُهُمْ وَالسَّاعَةُ أَدْهَى وَأَمَرُّ}:
Chapter. The Statement of Allah:“Nay, but the Hour is their appointed time (for their full recompense), and the Hour will be more grievous and more bitter.”(V.54:46)
Hadith Number: Q4876
يعني من المرارة.
«ammaru» , «mararatun» se hai. Jis ke maani talkhi ke hain yani Qayamat ka din bahut talkh ho ga.
Hadith Number: 4876
حدثنا إبراهيم بن موسى، حدثنا هشام بن يوسف، ان ابن جريج، اخبرهم، قال: اخبرني يوسف بن ماهك، قال: إني عند عائشة ام المؤمنين، قالت:" لقد انزل على محمد صلى الله عليه وسلم بمكة، وإني لجارية العب بل الساعة موعدهم والساعة ادهى وامر سورة القمر آية 46".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya, kaha hum se Hisham bin Yusuf ne byaan kiya, unhein Ibn Jurayj ne khabar di, kaha ke mujhe Yusuf bin Maahik ne khabar di, unhon ne byaan kiya ke main Umm al-Momineen Aisha razi Allahu anha ki khidmat mein hazir tha. Aap ne farmaya ke jis waqt aayat «balis-saatu mau-iduhum was-saatu adha wa ammaru» ”lekin un ka asal waada to Qayamat ke din ka hai aur Qayamat bari sakht aur talkh cheez hai“ Muhammad salla Allahu alaihi wasallam par Makkah mein nazil hui to main bachi thi aur khela karti thi.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4877
حدثني إسحاق، حدثنا خالد، عن خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس، ان النبي صلى الله عليه وسلم قال وهو في قبة له يوم بدر:"انشدك عهدك ووعدك، اللهم إن شئت لم تعبد بعد اليوم ابدا"، فاخذ ابو بكر بيده، وقال: حسبك يا رسول الله، فقد الححت على ربك وهو في الدرع، فخرج وهو يقول:" سيهزم الجمع ويولون الدبر {45} بل الساعة موعدهم والساعة ادهى وامر {46} سورة القمر آية 45-46".
Mujh se Ishaq bin Shaheen Wasiti ne byaan kiya, kaha hum se Khalid bin Abdullah Tahhan ne, kaha un se Khalid bin Mehran Hazza ne byaan kiya, un se Ikrimah ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam jabke Aap Badr ki larayi ke mauqa par maidan mein ek khaime mein yeh dua kar rahe thay ke ”Ae Allah! Main tujhe tera ahad aur waada e nusrat yaad dilata hoon. Ae Allah! Agar tu chahe ke (Musalmanon ko fana kar de) to aaj ke baad phir kabhi teri ibadat nahi ki jaye gi.“ Aur is par Abu Bakr razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka hath pakar kar arz kiya: bas ya Rasool Allah! Aap apne Rabb se khoob ilhah o zari ke saath dua kar chuke hain. Nabi Karim is waqt zirah pehne huay thay. Aap bahar tashreef laye to Aap ki zaban mubarak par yeh aayat thi «sayuhzhamul jam-u wa yuwalloonad-dubur * balis-saatu mau-iduhum was-saatu adha wa ammaru» yani ”anqareeb kafiron ki yeh jama'at haar jaye gi aur yeh sab peeth pher kar bhagein ge. Lekin un ka asal waada to Qayamat ke din ka hai aur Qayamat bari sakht aur bahut hi karwi cheez hai.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة